**Dil dharaknay ka sabab yaad aya
woh teri yaad thi abb yaad aya
aaj mushkil tha smbhalna ae dost!
tu musibat main ajab yaad aya
Din guzara tha bari mushkil say
phir tera wada e shabb yaad aya
haal e dil hum bhi sunatay laikin
jab woh rukhsat hua tabb yaad aya
baith kar saya e gul main nasir
Hum bohat roey woh jabb yaad aya
For Him
**
**Note:**Khushfehm logoan say paishgi ma’zrat!!!