My story needs ur patience to read.

Gullible.............jo bhi faisla lo.....use your aqal.......aur achi tarah se soch lo k tumharay plan k kya faiday hon gay aur kya nuqsaan.

I'm telling you right now...........standing in front of your MIL and telling her "Aunti...darasal baat yeh hai k yeh poori argument aap ki beti ne shuroo ki thi, bla bla bla bla." ......may not work. Tumhari MIL tum ko shuroo se hi pasand nahi karti.........aur woh har haal main apni beti ki hi side lay gi. Tum chahy laakh dafa MIL ko samjhao k un ki beti ne sara drama shuroo kiya tha............woh is baat ko nahin maanay gi. Even agar tum apni doosri SIL.....jis se tumhari understanding hai.......agar woh SIL bhi apni Maa ko samjhanay ki koshish karay k tumhara koi kasoor nahin hai.......to shayad tab bhi tumhari MIL na maanay. Kya pata tumhari MIL tum par ilzam lagaye k tum ne us ki doosri beti ko family k khilaf kar diya hai?

Your MIL sounds like a crazy woman. Agar.............tum.........waaqaiy main MIL ko poori story samjhana chahti ho......agar yehi tumhari zid hai........to is tarha se samjhao k MIL mind na karay. Aur story sunanay k baad........please........MIL se MAAFI maang lo. Woh bachi ki tarha behave karna chahti hai....to karnay do. Kum se kum tum to maturely behave karo. Kam se kam tum to aqal se kam lo......aur maafi manglo......and let Allah deal with them.

Agar tum bilkul bhi maafi nahin maang sakti.........to phir socho k tum apnay husband k saath rehna chahti ho ya nahin. Because woh log tumhara jeena haram kar dain gay.