**Ahsaas kay saray rishtay tor do
Piyaar kay saray bandhan khol do
Dil say apnay bhula do mujhay
Aur phir kabhi na yaad aaoo mujhay
Dua hai meri khuda say kayh!
Har qadam tumhara manzil ki taraf uthay
Aakash kay sitaro ko choo lo tum
Khushiyan har dam tumhari raha takay
Jugnuoo ki tarah jhilmilaoo tum
Kaash kay aisa ho jaye!
Kisi qadam par mehsoos na ho kami meri
Kisi qadam per mujh ko yaad na karo tum
Khushiyo may aisay apni magan raho
Kabhi mazi kay warq na palto tum
Magar yeh bhi yaad rakhna!
Agar kisi manzil per pahaunch kar koi dard mil jaye
Aankh tumhari jo kabhi pur nam ho jaye
Kabhi kisi apnay ki kami mehsoos karo to
To tum mujhay pukar laina
Aur agar yeh bhi na kar pao to!
Dil ko apnay simayt laina
Aur bas yaad mujhay tum kar laina
Aankho kay duwaro ko band kar laina
Mehsoos mujhay tum kar laina
Aur phir yun karna kay!
Saray raaz apnay dil kay
Tum mujh say keh laina
Saray dard apnay dil kay
Tum mujh say baant laina
Bas meri ek aakhri khuwaish yaad rakhna!
Jab meri hayat ka safar tamam honay lagay
Meray qadam meri akhri manzil ki taraf rawan honay lagay
Mujhay lahayd tak lay janay walay chaar apnay kandho may
Ek kanhdha tumhara bhi ho**
wo es liyee k i expected more from you…for your good taste it should be (my personal view only) something like this…you might have already read it.
But there is a difference this piece is more about failure of an effort and your favourite one was about failure of a wish…so i guess there is a difference of angle…anyway it goes like this
***har baar mere saamane aatii rahii ho tum ***
***har baar tum se mil ke bichhadataa rahaa huun main ***
***tum kaun ho ye Khud bhii nahiin jaanatii ho tum ***
***main kaun huun ye Khud bhii nahiin jaanataa huun main ***
***tum mujh ko jaan kar hii padii ho aazaab men ***
***aur is tarah Khud apanii sazaa ban gayaa huun main ***
***tum jis zamiin par ho main us kaa Khudaa nahiin ***
***bas sar basar aziiyat-o-aazaar hii raho ***
***bezaar ho gaii ho bahut zindagii se tum ***
***jab bas men kuchh nahiin hai to bezaar hii raho ***
***tum ko yahaan ke saayaa-e-paratau se kyaa Garaz ***
***tum apane haq men biich kii diivaar hii raho ***
***main ibtadaa-e-ishq men bemahar hii rahaa ***
***tum intahaa-e-ishq kaa miyaar hii raho ***
***tum Khuun thuukatii ho ye sun kar Khushii huii ***
***is rang is adaa men bhii pur kaar hii raho ***
***main ne ye kab kahaa thaa ke muhabbat men hai najaat ***
***main ne ye kab kahaa thaa ke vafadaar hii raho ***
***apanii mataa-e-naaz lutaa kar mere liye ***
***baazaar-e-iltafaat men naadaar hii raho ***
***jab main tumhen nishaat-e-muhabbat na de sakaa ***
***Gam men kabhii sukuun-e-rafaaqat na de sakaa ***
***jab mere saare charaaG-e-tamannaa havaa ke hain ***
***jab mere saare Khvaab kisii bevafaa ke hain ***
***phir mujhe chaahane kaa tumhen koii haq nahiin ***
***tanhaa karaahaane kaa tumhen koii haq nahiin ***
Aap donoo ne aaj mere buhut purane zakham hare kar diye, V.V Nice poetry.
U KNOW WHAT, AM REALLY CRYING (Bas nahi khud par) am in my office but cant control my self (pray for me friends)
Take it easy man…cheer up…i wonder what zakhams they clould be,here is something for you…
***is vaqt to yuun lagataa hai ab kuchh bhii nahiin hai ***
***mahataab na suuraj na andheraa na saveraa ***
***aankhon ke dariiche men kisii husn kii jhalakan ***
***aur dil kii panaahon men kisii dard kaa Deraa ***
***mumkin hai koii vaham ho mumkin hai sunaa ho ***
***galiyon men kisii chaap kaa ek aaKhirii pheraa ***
***shaaKhon men Khayaalo.n ke ghane ped kii shaayad ***
***ab aake karegaa na ko_ii Khvaab baseraa ***
***ik bair na ik mahar na ik rabt na rishtaa ***
***teraa ko_ii apanaa na paraayaa ko_ii meraa ***
***maanaa ki ye sun-saan gha.Dii saKht ba.Dii hai ***
***lekin mere dil ye to faqat ek gha.dii hai ***
***himmat karo jiine ko abhii umr pa.Dii hai ***