*[FONT=Kozuka Gothic Pro B]
apnay andeshoo'n ki barat dekhatay kis ko
tum hi jub bhool gaye to yaad atay kis ko
uth gaye khud hi, dekha to faqt ghair thay hum
ashna thay sabhi mehfil say uthatay kis ko
**kuch musaar na huwa apnay hi zakhmoo'n kay siwa
muskuratay huway khwaboo'n mai sajatay kis ko**
hum bhataktay hi rahay shehar kay werano mai
apni tanhaye ka ehsaas dilatay kiss ko?
buhut khoob shab
*