Muskura Do Ik Baar

Asalam U Alaikum !hoez u al hope fine shine m fine too !bohat din se kuch ronay wala mahool hai kuch members ko shikayat bhi hai k aaisa kion hai so iss dhaagay mein sirf hasna hai no rona dhona so aap bhi apnay pasandeeda mazahiya shair share kar saktay hain 1st one is from your frnd sId !

Raat Ka Waqt Bhi Hai Aur Masjid Bhi Qareeb
Uthein Jaldi Se Paigham e Amal Lai Hoon
Ghar Main Filhal Jitne Bhi Purane Jooty Hain
Aap Bhi Ja Kar Badal Laein Main Badal Laai Hoon

:hehe:

Re: Muskura Do Ik Baar

Hath Pakra Nabz Dekhi Chashma Lagaya
Kuch Socha Aur Ishq Ka Beemar Likh Dia
Qurban Kion Na Jaon Main Aaise Hakeem K
Nushkhe Mein Jis Ne SharbaT E Deedar Likh Dia


Re: Muskura Do Ik Baar

lol…nice shoes! :hehe: n nazm

Re: Muskura Do Ik Baar

very nice indeed
:)

Re: Muskura Do Ik Baar

Here you go :)

Re: Muskura Do Ik Baar

kukar de naa'n utay le aayan aye ill mahiyaa
aj roti nahin labhni bhanvay la lein till mahiyaa

chal ghar de'aan kaman noo'n ral-mil ke muka laiye
main makeup karni aa'n tuu'n aaloo chil mahiyaa

Re: Muskura Do Ik Baar

sun kay baat doctor ki, kyon naan main uss pay kar doon riT?
khujli par ye raai di, "you will have to live with it"

:D

Re: Muskura Do Ik Baar

:CareBear: :CareBear:
**JAAN TUM PER NISAAR KARTA HON :wink:
JAB KOI DOSRA NAHIII HOTA ** :dhimpak:

i think momin aur ghalib k ashaar ka mixture hai
oRignAl :hehe:

Tum mere pass hotay ho goya
Jab koi dosra nahiiI hota

Re: Muskura Do Ik Baar

:)
great remixing idea, This is Ghalib + Haali

Kaab'e kis mooonh sey jao ge, Ghalib??
Dil se khayal-e-dost bhulaya na jaye ga

Re: Muskura Do Ik Baar

all ashaars r funny and good

Re: Muskura Do Ik Baar

meer ki shaeiri ka satyaa naas by urs truely :smiley:

aghaaz-e-ishq hai rota hai kaya
samajh kyon nahin aati, “khota” hai kaya

:gadha:

Re: Muskura Do Ik Baar

hahahaha chacha jee u r so funny :bb: :hehe:

Re: Muskura Do Ik Baar

** (Apni Aisi Wife Hou larka)**
Apni aaisee wife ho,.
5'6" jiski height ho,
Jeans tight tight ho,
Chehra jiska bright ho,
Umar 22 se 27 ho,
Aise apni Wife ho.

*Sadak per sab kaheN kya cute ho,
Bhir me sab kaheN side ho, side ho,
Pindi, Islamabad ya Peshawar ki paidaish ho,
Sas ki khidmat jiski khwahish ho
Aisi apni Wife ho. *

*Padosi jab baat karay to haath me knife ho,
Dinner ke waqt candle light ho,
Ham me tum me kabhi na koi fight ho,
Milnay ke baad dil delight ho,
Aise apni Wife ho.
*

Re: Muskura Do Ik Baar

*LARKI KA JAWAB
~
~~~~~~~~~* **
*6'2" jiski height ho
Jeans dheeli magar body tight ho
Biwi ka her nakhra uthaye, itna mizaaj uska light ho
Husband apna aisa bright ho *

*Uff tak na kare itna quiet ho
Dinner banaye wo jab bhi romantic night ho
Shopping ker ke jab bhi aoon, bolay begum tum kitni nice ho
Husband apna aisa bright ho *

*Mujhay rani bana ker rakhay, to phir zindagi delight ho
Saas sussar ke samne kahay, jaan tum hamesha right ho
Hamesha jo haar maan jaye, jab bhi kabhi fight ho
Husband apna aisa bright ho *

*Jaha chahoon jaoon, jo chahy karoon, kuch is tarah ki life ho
Her doosray week ghoomne phirne ki flight ho
Aisa ho jaye to mein urron aasman mein, jaisay ke kite ho
Husband apna aisa bright ho
*

Re: Muskura Do Ik Baar

"Sahib Zaday kiya karte hain" Larki Waloon ne poocha
"Jab dekho farigh phirte hain ya tambako pite hain"
Larkay ki amman yeh bolin....kam kare us ki joti
"do bhai bhatta lete hain--abba khair se daku hain

Re: Muskura Do Ik Baar

Ladki: *Chandni chand se hoti hai, sitaron se nahi
Mohabaat ek se hoti hai, hazaron se nahi
*Ladka: Chandni chand se hogi to sitaron ka kya hoga
Mohabbat ek se hogi to hazaron ka kya hoga
:hehe:
bore ppl share sumthin :stuck_out_tongue:

Ts jee umdaa goin well :k:

Re: Muskura Do Ik Baar

funny funny sab k sab funny:)

Re: Muskura Do Ik Baar

kya matlab sid bore kaisey kaha:confused:

Re: Muskura Do Ik Baar

khush na ho itna jo yeh teri barat hai
jal jan jayega to kia teri auqaat hai
izdawaji zindgani ki haqeeqat hum say poch
chaar din ki chandni phir andheri raat hai

Re: Muskura Do Ik Baar

Ladka bola :
kash in hasinao ke baap mar jate,
kash in hasinao ke baap mar jate,
bahana gham ka hota, hum inke ghar to aate.
Ladki boli:
Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,
Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,
kisi din tu bhi kisi hasina ka baap hoga:omg:

Tu chandramukhi main surajmukhi,
tu mujhse dukhi main tujhse dukhi.
Chatt se chhalang laga de, phir tu bhi sukhi,mein bhi sukhi :omg: