Muskura Do Ik Baar

Re: Muskura Do Ik Baar

Against uss shareef saada masoom n bholay bhalay guys :(

Bohat hee khobsurat nazm ka aghaz kerte hain
Yeh larke kion apna waqt berbaad kerte hain

Zara samjha kero hum ko, zara alfaaz wapis lo
Kay sharif zaadey kahan, kab, aisi baat kartay hain

Kissi se “luv u” kehte hain kissi se “hug u” kehte hain
Yeh jo aap kerte hain who kia khak kerte hain??

Mobile de ke larkion ko inspire kerte hain
Maa baap ke paisoon ka khana kharab kerte hain

Bohat pur-josh rehte hain bohat si baatein kerte hain
Mager matlub ki baatoon ko huns ke taala kerte hain

Deen ki baatoon ko khud pe na kabhi sawar kartay hain
Aur kuch mane ya na mane girlfriends hamesha chaar rakhtay hain

Nahin ager aap ki niyat mein koi futoor
toW larkion ke face mein kia talaash kerte hain???

*Kahain tu hard disk bhar doon inn pe likh ker
Chalein chorein aaj hum inn ko maaf kerte hain..... *

Re: Muskura Do Ik Baar

hahhahahah bohat hi maza aya read kar k may b aab larkey kuch samjh jayen

Re: Muskura Do Ik Baar

**bufe-daavat pe bulaayaa gayaa hoon
pletein de ke bahalaayaa gayaa hoon *
*
**na aaee par na aaee meree baaree
pulaav tak bahut aayaa-gayaa hoon *
*
**kabaab ki rakaabee dhoondhane ko
kaee meelon mein daurhaayaa gayaa hoon *
*
**baraaye-katle-katala- haaye-maahee
chhuree-kaante se larhavaayaa gayaa hoon *
*
ziyaafat ke bahaane dar-haqeeqat
mashqqat ke liye laayaa gayaa hoon

sayyad zameer jaafare

Re: Muskura Do Ik Baar

yah bahas thee ki fakhr-e-karaachee hain kaun log ?
ik rahnumaa-e-qaum pukaaraa kyaa ki ‘‘ham’’
ik shokh naazaanee bhee guzartee thee raah se
pardaa ulat ke usne ishaaraa kiyaa ki ‘‘ham’’



who lives in karachi uska to kaam ho gaya :hehe:

Re: Muskura Do Ik Baar

For all of you hahahhahah :lol: :hehe:

bolaa dukaan-daar ke kyaa chaahiye tumhein
jo bhee kahoge meree dukaan par vo paa’oge
main ne kahaa ke kutte ke khaane kaa ‘cake’ hai
bolaa yaheen pe khaa’oge yaa leke jaa’oge?

ab bhi hansi na aaye to jaa k khud dhoond k lao koi sher :stuck_out_tongue: hansi wala
com on ppl where are ur entries :naraz:

Re: Muskura Do Ik Baar

nahi aab i hansi yeh acha tha baki wo samjh nahi aaye

Re: Muskura Do Ik Baar

*Yeh Exam ke rishte bhi ajeeb hote hai,
Sab apne apne naseeb hote hai,
Rehte hai jo nigaho se door,
Sale wahi Question compulsory hote hai...
*

Re: Muskura Do Ik Baar

When Net Friends Meet


Girl Says:
na motor car hai teri na VCR hi nikla
na uncle hein wazeeron mein na koi yaar hi nikla
na income tax mein koi sa rishtay daar hi nikla
plaza jis ko kehtay thay, wo ek chota sa khokha hai
muhabbat kar k bhi dekha, muhabbat mein bhi dhoka hai


BOY SAYS:
tujay kashmir samjha tha , magar thar-paarkar nikla
na afsar hai teri amma, na abba doctor nikla
ghubaar-e-husn k peechay beauty parlour nikla
mein neelay lens mein dooba to ja k kaashghar nikla
na jhumkay tere asli hein, na asli tera koka hai
muhabbat kar k bhi dekha, muhabbat mein bhi dhoka hai

Re: Muskura Do Ik Baar

^ lol :hehe:

apni zoujaa say kaha ik molvi nain, “naik bakhat
teri turbat par likhain tahreer kis mafhoom ki”
zoujaa boli " likhyee ka sirf itnaa
dafan hai zoujaa yahaan par molvi marhoom ki"

:smiley:

turbat = qabar

Re: Muskura Do Ik Baar

:D

Re: Muskura Do Ik Baar

Dil kehta hai tere nazuk labon ko chum loon,
Dil kehta hai tere nazuk labon ko chum lu per teri behti huvi naak ko dekhakar irada badal diya.

Re: Muskura Do Ik Baar

***Jab se begum ne mujhe murga bana rakha hai
MaiN ne nazrooN ki tarha sir bhi jhuka rakha hai ***


***Bartano! Aaj merey sir pe barastey kyoN ho
MaiN ne tum ko to hamesha se dhula rakha hai ***


***Pehley Belen ne banaya tha merey sir pe Ghomer
aur ab Chimtey ne mera gaal saja rakha hai ***


***Sarey kaprey to jala daley haiN begum ne
tan chupaney ko Banyan phata rakha hai ***


***Wahi Dunya maiN muqadder ka Sikander yahaN Tehra
Jis ne khod ko abhi Shaadi se bacha rakha hai ***

Pi ja is maar ki talkhi ko bhi haNs ker
Maar khaney maiN bhi Qudrat ne maza rakha hai


Re: Muskura Do Ik Baar

^^ LoL :D

Re: Muskura Do Ik Baar

lolzzzzzzzzzzzz

nice thread BL

Re: Muskura Do Ik Baar

kia hua every one kya muskurana buri baat hai ?

where are ur entries :naraz: