Muntazir Kub Say Tahayyur Hai Terii Taqareer Kaa Baat Kar ! Tujh Par Gumaa~n Honay Laga Tasveer Ka
Raat Kiya Sooay Kay Baqi Umer Key Neend Urr Gaiee Khavab Kiya Deekha Kay Dharka Lag Giya Tabeer Ka
Jaanay Tu Kis Alam Main Bichra Hai Kay Tairay Baghair Ajj Tak her Lafz Faryadii Hai Mairee Tehreer Ka
Jiss Tarah Badal Ka Saaya Piyaas Bharkata Rahay Main Nay Voh Alam Bhee Daikha Hai Tairee Tasveer Ka
Kis Tarah Paya Tujhay Phir Kis Tarah Khoya Tujhay Mujh Sa Munkir Bhee Tu Qayal Hu Giya Taqdeer Ka
Ishq Main Sir Phoorna Bhee Kiya Kay Yey Bay Mher Log Ju-e-Khun Ku Naam Daitay Hain Ju-e-Sheer Ka
Jiss Ku Bhee Chaha Uss Ku Shidaat Say Chaha Hai "Faraz"
Silsala Tuta Nahee Dard Key Zanjeer Ka......................................."Sighs"
Buhat Khubsoorat Intikhab:)