MuNNi BadNaM Hui...............

Re: MuNNi BadNaM Hui…

**
lol…its a fast moving world…isn’t it? vese munni kaa abhi to bas Khaaka [silhouette] dikhaa hai…uskii asli shakl aur joGhraafiye [geography] kii koii Khabar nahiiN…ab baiThaa huN rahguzaar pe k shaayad koi “blesses person” hii uskaa ataa pataa bataa de :slight_smile: haayeeeee koii to apnii chashm e karam vaa kare is Ghareeb par :)**
**
vaise…munnii kaa nama sunte hii na jaane kiuN mere zehn-shareef meN yeh gaanaa aa gayaa:

**

Re: MuNNi BadNaM Hui…

:dannyboy: well said

Re: MuNNi BadNaM Hui...............

Munni badnaam hoi ............................

Re: MuNNi BadNaM Hui…

indeed it is a very fast moving world…lol munniya tou mere paas bhi bohat hain tum apna khaka bhejo…

lol @ the video. gana is very very paindoo i must say.

Re: MuNNi BadNaM Hui...............


**
ohhhhh....u to baRii "resoucefull" ho masha Allah...ab maiN Khaaka kaise bhejuuN? hahaha....chalo Theek hai...mere paas ek puraanaa kabootar paRaa hai...sotaa rahtaa hai...use jagaa ke usii ke panjoN bhejtaa huN...hehe

painDoo songs are fun na? hehe**

Re: MuNNi BadNaM Hui…

yes…theek kabootar bhej do aur kabootar ko salman khan ki film “maine pyar kiya” ka gana kabootar ja ja sunana na bhoolna

yeah paindoo songs are a good laugh-lol

Re: MuNNi BadNaM Hui…

**
ahaaN…par pataa kia? use jagaayaa to chalaa to gayaa le kar meraa Khaaka magar jaate jaate me ko do laat maarii aur yeh gaanaa gaayaa:

**

Re: MuNNi BadNaM Hui…

hahahaha yani kabootar bewaqoof hai…tum apna qasid tabdeel karo.

Re: MuNNi BadNaM Hui...............

Muni Badnaam hui HBK ke liye :@:

Re: MuNNi BadNaM Hui...............


**
nai nai nai...Allah na kare...kabootrii ne sun liyaa to naaraaz ho jaayegii to u kii Khair nahiiN...hmmm...ab best to yehii hai k maiN Khud hii aa jaataa huuN...agar mere na piTne kii zimmedaarii lo to maiN iimaan se aa jaauuN bhale hii kabootar meraa do aur laateN me ko maar leve :)**

Re: MuNNi BadNaM Hui...............

oh acha zanana hai...khair hum tou shair ko bhi seedha karna jante hain yeh tou phir bhi parinda hai...oh yes ajao....agar pitne ki naubvat ayi bhi tou i'll save u...do no worry on that aspect :)

Re: MuNNi BadNaM Hui...............


**
aiilla...sachi? will u really save me from the clutches of irate mob of kabootars and kabootris? thank you...indeed, what friends are for :)

ab kiraayaa kahaN se laauuN? kitnii door hai? paidal aa saktaa huN? vese bhii, i'm used to paidal chaling coz i'm a perfect "aql se paidal" guy...hehe**

Re: MuNNi BadNaM Hui...............

jo dost museebat main kaam nahi aye woh dost nahi...dost per humain ek lateefa yaad aya..

"pehle dost: yaar mujhe 200 rupay chahiye aur batwa main ghar bhool aya hoon"
"doosra dost: koi baat nahi dost hi dost ke kaam ata hai yeh lo 10 rupay aur rickshay main baith ke batwa le aao"...hahahahaha

haan yeh tou hai...main kaafi kangaal hoon warna i would have paid ur kiraaya....aur jahan tak paidal ane ka sawal hai tou itni thakkan ke baad koi munni achi nahi lage gi...aisa karo ya tou intezaar karo ya net pe search karo munni....ya ad de do akbaar ya net pe ke "ek addad wajeeha shakal, khoobseerat parhe likhe munne ke liye ek addad khoobsoorat, khoobseerat, parhi likhi munni darkar hai"....dekhna kya alaa response ayega inshallah

Re: MuNNi BadNaM Hui...............


**

han bilkul sahi kaha...dost hii dost ke kaam aataa hai yaa dost dost ke hii kaam aataa hai...loved the joke... hahaha hehehe hohoho

hehehe...kia Khoob jamegi jo mil baiThenge kangle do...hahaha...saHeeH kahaa...thakaan ke ba'd to munni begm munne miyaan nazar aayeNge...hehe

nahiiN nahiiN jii...ishtiHaarii munni saHeeH nahiiN rahegii...shaadii waale din kahiiN aisaa na ho k Munni Begam ba vajh e jaadoo Munne Miyaan ban gaye...lolllzzzzzz**

Re: MuNNi BadNaM Hui…

Munni Begum Achi Ghazal Go Theen :hinna: kia howa unn ko :bummer:

Re: MuNNi BadNaM Hui…

oye yahan us munni begum (nadira) ki baat nahi ho rahi…munni begum ko kuch nahi hua…yeh koi aur munni hai…

Re: MuNNi BadNaM Hui...............

lol either way kaam tou ata hai na..:)

bilkul sahi...hum kanglo ko jald paisa lane ka zarriya sochna chahiye...lol bilkul munne miyan nazar ayengi

haha aqalmand ho her baat ka munfi/musbat pehlo pehle se dekh lete ho..good....tou phir word munni ki jaga koi aur word istamal kartey hain..hayaIN...

Re: MuNNi BadNaM Hui…

Nadira :eek: her real name is Nadira :eek:

Re: MuNNi BadNaM Hui...............


**

Theek hai...ham "jeb katre" ban jaate haiN...we'll work as a team...i'll pull the pocket down and u run the blade over it...hehe...exacto knife rather!

aji maiN aqalmand nahiiN huN bal k "aqalBand: huN :) i'm proud to bhii "aqlBand" hehe**

Re: MuNNi BadNaM Hui…

haan tou aur kya…munni begum tou uska screen naam hai…awaargi main had se guzar jana chahiye ghazal wali munni ki hi baat ker rahe ho na…

http://en.wikipedia.org/wiki/Munni_Begum