~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

Tazaad-e-jazbaat meiN jo naazuk maqaam aaya to kya karo gey
MaiN ro raha hooN tum haNs rahey ho, maiN muskuraya to kya karo gey

**Kuch apney dil par bhi zakhm khao, mere lahoo ki bahaar kab tak **
Mujhey sahara banaaney waalo, maiN laRkhaRaaya to kya karo gey

Mujhey to is darja waqt-e-rukhsat sukooN ki talqeen kar rahey ho
Kabhi kuch apney liye bhi socha, maiN yaad aaya to kya karo gey

Abhi to taskeen ho rahi hai, mere mazaaq-e-junooN pey lekin
Tumhari zulfoN ki barhamii ka, sawaal aaya to kya karo gey

Abhi to daaman chuRaa rahey ho, bigaR key “Qabil” se ja rahey ho
Magar kabhi dil ki dhaRkanoN meiN, shareek paaya to kya karo gey

- Qabil Ajmeri

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

bohat khoob

daad deni hogii aapke intikhaab ki

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

Wow - great one...

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

Shukriya Aqal-less and Mysterious Woman.. :-)

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

one of my fav… thanks for sharing KN :flower1:

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

dil ki dharkano mai shareek paya to kaya karo gaye... wah
bohat khoob :K:

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

v nice KN :)

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

Nice :)

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

Thanks you KN :) beautiful :)

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

Nice stuff thanku for sharing khamosh nigahon wali larki:~)

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

very nice...

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

:-)

wah after 5 months answer diya hey , kya baat hey:~)

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

Answer nahiN diya... Bas abhi yeh ghazal sun rahi thi to I just felt like bringing it up again... :-)

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

akeley akeley suna ja raha hey:~)

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

kisi papeehay ne koi barkha ka geet gaaya to kya karo gay
abi to "phaagan" ka hai maheena, jo "saawan" aya to kya karo gay

hansein gi kaliyaan, khilein gay gunchay, sajay gi phoolon ki sej lekin
kia tha aanay ka jis ne waada, wohi na aaya to kya karo gay

abi to hai do-peher ka aalam, abi to chaaya nahi andhera
juda tumhaaray badan se hoga tumhaara saaya to kya karo gay

ufaq pe nazrein jama k tum ne kiya bharosa jin aahaton ka
un aahaton se b tum ne aakhir fareb khaaya to kya karo gay

ye mashwara apnay dil se kar lo shikast-e-jaam-o-subuu se pehlay
tumhaari toba ka baadlon ne mazaaq uraaya to kya karo gay

zameen se mayoos ho k tum chaand ki taraf ja rahay ho lekin
wahan b tum ne jo zindagi ka nishaan na paaya to kya karo gay

QATEEL tum jisko chaahtay ho, chupaao laakh uska naam piyaaray
tumhaari sanjeedgi ko mosam ne gud'gudaaya to kya karo gay

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

GhazleiN akeley sun'ney meiN hi mazza aata hai :-)

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

Bohat hi umda ghazal hai.. Is this a sequel to the previous one or a seperate ghazal in the same "zameen"? Thank you so much for posting it here.. Truly appreciated :-)

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

5 months puraani hey to kya huwa, ghazal to zabardast hey. I somehow missed it first time :frowning: Very hi nice KhamoshNigahein :k: Thanx for sharing it with us :slight_smile:

Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey

Thank you for liking Amal :-)