Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey
Bohat Khoob :)
Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey
Bohat Khoob :)
Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey
Tazaad-e-jazbaat meiN jo naazuk maqaam aaya to kya karo gey MaiN ro raha hooN tum haNs rahey ho, maiN muskuraya to kya karo gey
Kuch apney dil par bhi zakhm khao, mere lahoo ki bahaar kab tak ** **Mujhey sahara banaaney waalo, maiN laRkhaRaaya to kya karo gey
Mujhey to is darja waqt-e-rukhsat sukooN ki talqeen kar rahey ho Kabhi kuch apney liye bhi socha, maiN yaad aaya to kya karo gey
Abhi to taskeen ho rahi hai, mere mazaaq-e-junooN pey lekin Tumhari zulfoN ki barhamii ka, sawaal aaya to kya karo gey
Abhi to daaman chuRaa rahey ho, bigaR key "Qabil" se ja rahey ho Magar kabhi dil ki dhaRkanoN meiN, shareek paaya to kya karo gey
- **Qabil Ajmeri**
*jab jaisay bhi baat bannay gi
banna kar baith jayen gay
jaisay bhi halaat hon gay
guzar un se hum jayen gay
tum hamaara fikr mat karo
kuch apnay aap ka bhi socho
kuch zindgi jeena bhi seekho
hum khush hain, khush rayen gay*
Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey
buhut khub :k:
Re: ~ Mujhe sahara bananey walo, maiN laRkhaRaya to kya karo gey
bahot khuubsurat- aap ki KN and aabla_pa ki as well. very beautiful sharing