aaj bara mood hei threads banane ka 
dayaar-e-dil ki raat mein chiraagh sa jalaa gaya
milaa nehi toh kya huwa vo shaql toh dikhaa gaya
judaaion ke zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi neend aa gayee mujhe bhi sabr aa gaya
ye subha ki safediyan ye do-paher ki zardiyaan
ab aaeene mei dekhtaa huun mei kahaan chala gayaa
pukartii hein fursatein kahan gayee wo sohbatein
zamee nigal gayee unhe ya aasmaan khaa gayaa
wo dosti toh kher ab naseeb-e-dushmanaan huwee
vo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gayaa
ye kis khushi ki rett per ghamon ko neend aa gayee
vo leher kis taraf gayee ye mei kahaan samaa gayaa
gaye dino ki laash per pare rahoge kab talak
utho amal_kashon utho ki aaftaab sar pe aa gayaa
muncho
2
Re: mujhe bhi sabr aa gayaa
aaj bara mood hei threads banane ka
baita khayaal rakhyee ga kahin ulajh na jaein ye threads :)
Re: mujhe bhi sabr aa gayaa
I heard this one :-)
aaj bara mood hei threads banane ka
baita khayaal rakhyee ga kahin ulajh na jaein ye threads :)
wah Muncho unkil, kitni changee advice ditti aap :D
Re: mujhe bhi sabr aa gayaa
Nice sharing 
ASA
6
Re: mujhe bhi sabr aa gayaa
wo dosti toh kher ab naseeb-e-dushmanaan huwee
vo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gayaa
*mashAllah ... kya kehnay.. *
Re: mujhe bhi sabr aa gayaa
nice
Re: mujhe bhi sabr aa gayaa
verynice.. :k:
Re: mujhe bhi sabr aa gayaa
bohut khoob.
thanks 4 sharing
Daanie
10
Re: mujhe bhi sabr aa gayaa
nice sharing :)
Re: mujhe bhi sabr aa gayaa
thanks all for liking :)
Sheal
12
Re: mujhe bhi sabr aa gayaa
nice sharing JJW :k:
Koyal
14
Re: mujhe bhi sabr aa gayaa
V nice jhun jhun :) wesay kon dekha k gaya hai shaakal ;)
abeeha
15
Re: mujhe bhi sabr aa gayaa
great sharing.......
immu
16
Re: mujhe bhi sabr aa gayaa
Kuch hum se b to share kr dia karo
Kuch hum se b to share kr dia karo
aainda khayal rahega :@:


shabbo, abeeha n sheal thanks gals!