**Muhabbat may bohat asaan nahi hota
Kisi kay hijr ko
Apnay junun kay baab may tasleem kar lena
Wafa ki khushbuon ki
Nekiyan taqseem kar lena
Badan par paaon rakhti piyaas say beyhaal bhi rehna
Isay taskheer kar lena
Dil e barbad ka in wehshaton may bhi
Bikhartay hoslay taameer kar lena
Bohat asaan nahi hota
Sulagtay khema e shab may
Bohat gehri udasi ki guzarti saaton may
Surkh aankhon kay kinaron par
Machaltay aansuon ko khamshi kay sath pi lena
Shikasta roshni kay sa`ay may her pal
Kisi ko door hotay dekhna
Aur hont si lena
Muhabbat may bohat asaan nahi hota
Muhabbat may bohat asaan nahi hota
**