Re: mohabbat chup nahi rehti.
here are the next 5 pages. I'll post the last 11 pages tomorrow. insha'Allah. Happy Reading.
11.
woh boli, zindagi toh dayro'n kay pehlnay say hay
may bola, *mout bhi ek dayra hay door tak pehla*
woh boli, roh kay andir kahin per aagh jalte hay
may bola, haan duhaa'n may nay bhi dekha hay nigaho'n may
woh boli, ek dehkta shor sharyaano' may behta hay
may bola, haan badan per aablay may nay bhi dekhay hayn
woh boli, saans per bhi dard kay koray barstay hayn
may bola, haan laho per neel to may nay bhi dekhay hayn
woh boli, zaat ke teh may na janay kia naha'n ho gaya
may bola, jism per ubhre varedo'n say bhi zahir hay
12.
woh boli, daq zdaa jewan chupate phir rahe hoon may
may bola, naakhoono' ke zardion nay kar diya aryaa'n
woh kehti hay, tere jaybo'n may itnay khwab kionkar hayn
may kehta hoon kay dunia may mujhe zinda bhi rehna hay
woh kehti hay, tereay calar (collar) pay mitii ka nishaa'n kesay
may kehta hoon kay majboori alaamat chor jaate hay
woh kehti hay, tere awaz may masoomiat see hay
may kehta hoon kay yeh mazlomiat kay baad aate hay
woh kehte hay, teray chehray pay krb bay-kraa'n kesay
may bola, dil nay chehray per zard sa rung chora hay
13.
woh kehti hay, teray hatho'n pay zakhmo'n kay manazir kion
may kehta hoon kay kuch zayvar baray anmol hotay hayn
woh boli, umar beti koi bhi milnay nahi aata
may bola, umar say poocho kay akhir umar kion beeti
woh boli, husn dahlnay kay liyay hota hay, lagta hay
may bola, husn ho, yah bakht ho, yah chaand suraj hoon
woh boli, ab to zulfein may bhi chandni se sarak aaye
may bola, rooh tak may bhi daraarein par gaye hoon gee
woh boli, hath dekho bay iraada he laraztay hayn
may bola, hath dekhlaoo to phir dekho bhi himat say
14.
woh boli, zindgi ka aakhri kirdaar hairat hay
may bola, mout say pehlay koi ghar baar hairat hay
woh mujhe say poochti hay, badloo'n ko kab bulaoo gay
may kehta hoon, tumhein jub dohp ka mossam satay ga
woh mujhe say poochti hay, panchion say aashnaaye hay
may kehta hoon kay aashko'n ke kitaaro'n say bhi *waqif hoon *
woh mujhe say poochti hay, shahar ke bunyaad may kia hay
may kehta hoon, kese jungal ka katal aam hay shayad
woh mujhe say poochti hay, tum samandar may khabhi utray
may bola, ek samandar dosray may kis liyay utray
15.
woh kehti hay, mujhe mayoosian rasta nahi daytee'n
may kehta hoon kay yeh mayoosian taaqat bhi hote hayn
woh kehti hay, bohut tanha hoon may is poori dunia may
may kehta hoon kay yeh ehsas to ho ga Khuda ko bhi
woh kehti hay kay mujhe per shahar kay vahshee lapaktay hayn
may kehta hoon kay tum kirdaar ko seena sprr kar lo
woh kehti hay, hajoom badrosh say khoaf aata hay
may kehta hoon, mujhe ujree hoyee gliyaa'n darate hayn
woh kehti hay, mujhe bay-his zamany say shikayat hay
may kehta hoon kay yeh shikwa shikayat raayagaa'n hay sub
:(
thanks thanks thanks
u must be tired of typing, have a strong coffee, take some rest and type again tomorrow :)