mohabbat chup nahi rehti.

Re: mohabbat chup nahi rehti.

pehlay page # 10 tak toh pahr lo :p

PS: it takes time to write it. i'll try to post more in few mint.

Re: mohabbat chup nahi rehti.

main aik hi dafa saari parhoon ga :)

qatra qatra taras nahin sakta :p

Re: mohabbat chup nahi rehti.

sabr say sub kuch milta hay. zindage may her cheez aik dam tohri milte hay =)

Re: mohabbat chup nahi rehti.

main sabr hi to kar raha hoon : )

Re: mohabbat chup nahi rehti.

aik cheez decide kar lo: taras lo/sabar karo or na tarso/sabr na karo :halo:

Re: mohabbat chup nahi rehti.

here are the next 5 pages. I'll post the last 11 pages tomorrow. insha'Allah. Happy Reading.

11.
woh boli, zindagi toh dayro'n kay pehlnay say hay
may bola, *mout bhi ek dayra hay door tak pehla*
woh boli, roh kay andir kahin per aagh jalte hay
may bola, haan duhaa'n may nay bhi dekha hay nigaho'n may
woh boli, ek dehkta shor sharyaano' may behta hay
may bola, haan badan per aablay may nay bhi dekhay hayn
woh boli, saans per bhi dard kay koray barstay hayn
may bola, haan laho per neel to may nay bhi dekhay hayn
woh boli, zaat ke teh may na janay kia naha'n ho gaya
may bola, jism per ubhre varedo'n say bhi zahir hay

12.
woh boli, daq zdaa jewan chupate phir rahe hoon may
may bola, naakhoono' ke zardion nay kar diya aryaa'n
woh kehti hay, tere jaybo'n may itnay khwab kionkar hayn
may kehta hoon kay dunia may mujhe zinda bhi rehna hay
woh kehti hay, tereay calar (collar) pay mitii ka nishaa'n kesay
may kehta hoon kay majboori alaamat chor jaate hay
woh kehti hay, tere awaz may masoomiat see hay
may kehta hoon kay yeh mazlomiat kay baad aate hay
woh kehte hay, teray chehray pay krb bay-kraa'n kesay
may bola, dil nay chehray per zard sa rung chora hay

13.
woh kehti hay, teray hatho'n pay zakhmo'n kay manazir kion
may kehta hoon kay kuch zayvar baray anmol hotay hayn
woh boli, umar beti koi bhi milnay nahi aata
may bola, umar say poocho kay akhir umar kion beeti
woh boli, husn dahlnay kay liyay hota hay, lagta hay
may bola, husn ho, yah bakht ho, yah chaand suraj hoon
woh boli, ab to zulfein may bhi chandni se sarak aaye
may bola, rooh tak may bhi daraarein par gaye hoon gee
woh boli, hath dekho bay iraada he laraztay hayn
may bola, hath dekhlaoo to phir dekho bhi himat say

14.
woh boli, zindgi ka aakhri kirdaar hairat hay
may bola, mout say pehlay koi ghar baar hairat hay
woh mujhe say poochti hay, badloo'n ko kab bulaoo gay
may kehta hoon, tumhein jub dohp ka mossam satay ga
woh mujhe say poochti hay, panchion say aashnaaye hay
may kehta hoon kay aashko'n ke kitaaro'n say bhi waqif hoon **
**woh mujhe say poochti hay, shahar ke bunyaad may kia hay

may kehta hoon, kese jungal ka katal aam hay shayad
woh mujhe say poochti hay, tum samandar may khabhi utray
may bola, ek samandar dosray may kis liyay utray

15.
woh kehti hay, mujhe mayoosian rasta nahi daytee'n
may kehta hoon kay yeh mayoosian taaqat bhi hote hayn
woh kehti hay, bohut tanha hoon may is poori dunia may
may kehta hoon kay yeh ehsas to ho ga Khuda ko bhi
woh kehti hay kay mujhe per shahar kay vahshee lapaktay hayn
may kehta hoon kay tum kirdaar ko seena sprr kar lo
woh kehti hay, hajoom badrosh say khoaf aata hay
may kehta hoon, mujhe ujree hoyee gliyaa'n darate hayn
woh kehti hay, mujhe bay-his zamany say shikayat hay
may kehta hoon kay yeh shikwa shikayat raayagaa'n hay sub

:(

Re: mohabbat chup nahi rehti.

thanks thanks thanks

u must be tired of typing, have a strong coffee, take some rest and type again tomorrow :)

Re: mohabbat chup nahi rehti.

awesome!

Re: mohabbat chup nahi rehti.

thank you Ali and Shab :flower1:

Re: mohabbat chup nahi rehti.

i luv dis whole makalma
buhaat he khoob

batao : roka bhi tha na pyar k darya bahanay say
kaha : kia fayda itni baree daulat chupanay say
(deadsoul)

Re: mohabbat chup nahi rehti.

Thanx Ghazal Dear for sharing such a beautiful thing ... so simple yet beautiful.
God bless you hun!

Re: mohabbat chup nahi rehti.

deadsoul and Starlight: I have not posted the complete makalma/conversation. I have yet to post the last 11 pages. keep checking the thread! thanks :flower1:

Re: mohabbat chup nahi rehti.

:-)

Re: mohabbat chup nahi rehti.

:)

Re: mohabbat chup nahi rehti.

16.

woh boli, tum kahan gayab rehtay ho raato’n ko
may bola, may to bus aawara phirta hoon uddasi may
woh boli, phone bhi aksar bohut engage rakhtay ho
may bola, bay saropaa gahntion say khoof aata hay
woh boli, tum bohut kanjoos ho khat bhi nahi likhtay
may bola, khat likho’n to shaayri naraz hote hay
woh boli, tum khabhi milnay chalay aao jo mumkin ho
may bola, yeh to tum nay meray dil ke baat keh di hay
woh boli, aaj mossam may ajab se khushgawari hay
may bola, haan yeh mossam pyar say milnay ka mosam hay

17.

woh kehti hay kay ab awargi say kuch nahi hasil
mujhe hairat hay yeh kuch woh mujh badal say kehti hay
woh kehti hay, hawa to baanjh-pan takseem karti hay
may kehta hoon, magar dahrti hawa kay bus say bahir hay
woh kehti hay, shabee'n dohkay may rakhti hay hamesa he
may kehta hoon, kahin yeh toh nahi dohka dnoo'n may nahi
woh kehti hay, mujhe to zindagi say ek shikwa hay
hamesa saahilo'n ko mout kay saayay may rakhti hay
woh kehti hay, Khuda milta to us say baat karti may
may kehta hoon, magar may to khamoshi bant-ta rehta

18.
woh kehti hay kay Farhat bay-zarar rehna nahi aacha
may kehta hoon, kaye aachaian bus may nahi hotee'n
woh kehti hay, mere yaado'n say kion kar door rehtay ho
may kehta hoon, tere parchahia'n bus may nahi hotee'n
woh kehti hay, tumhare kuch duaa bhi to koi ho gee
may kehta hoon, jaha'n tum ho yeh raatein bhi wahee'n hotee'n
ajab ek maanoEeyat si palat aati nazaro'n may
tumhein hum dekhtay bhi aur baatein bhi wohe hotee'n
sitaray dekhnay aatay mujhe tere mohabbat may
woh kehti hay, sitaray aur sapnay jhoot hotay hayn

^ that one was so confusing

19.
woh kehti hay kay ab rooa'n to aanso chuphnay lagtay hayn
may kehta hoon, kese shaayar say aankhein maang sakti ho
woh boli, aas ke faslayein kaye bemaar hayn dil may
may bola, jis trha mumkin ho saawan ko bula laao
woh boli, may aadhoray qaidion ke saf may shamil hoon
may bola, iska matlab hay kay aazadi nahi mumkin
woh boli, kuch likho'n to unglion say khoon ristaa hay
may bola, may to aisay may bhi apnay dil say likhta hoon
woh boli, dard nay aasaab ko murdaa bana daala
may bola, ishq ke bay-chainion say zindagi kar lo.

20.
woh kehti hay, agar sub raastay msrood ho jayein
may kehta hoon, to phir hum aap tak mehdood ho jayein
woh kehti hay, agar bay-chainiaa'n bay-sood ho jayein
may kehta hoon, fana fi alnaar hist-o-bood ho jayein
woh kehti hay, agar vayraaniaan rastay may aa jayein
may kehta hoon, hazarao'n ghum bohut sastay may aa jayein
woh kehti hay, tumhein takhtee pay apnay hurf likh doo'n to
may kehta hoon, tere baatein meray bastay may aa jayein
woh kehti hay, balaayein jub bhi mera naam layte hayn
may kehta hoon, tujhe mere duaaein tahm layte hayn.

Re: mohabbat chup nahi rehti.

Here comes the last six. Thank you All for reading.

21.
woh mujhe say poochti hay, mujhe say baatein kion nahi kartay
may kehta hoon, abhi to dekhnay ke manzilo'n per hoon
woh mujhe say poochti hay, shaam kia vayraan hoti hay
may kehta hoon kay yeh to hijr ke pehchaan hoti hay
woh mujhe say poochti hay, ratjagoo'n ka rung kesa hay
may kehta hoon kay jesay jaagnay walo'n ke aankho ka
woh mujhe say poochti hay, hijr ki kismein bhi hote hayn
may kehta hoon jitnay vasal utnay hijr hotay hayn
woh mujhe say poochti hay, pyar ka matlab bataoo gay
may kehta hoon kay her ek baat ka matlab nahi hota

22.
woh boli, rastay may dard kay kitnay samandar hayn
may bola, aakhri jo zabt say bihr nikal aayay
woh boli, ab to mujhe may zabt ka yaara nahi baaqe
may bola, doobnay ko phir to tum tayaar ho jaoo
woh boli, kaayanaatein is qadar simti hoye hayn kion
may bola, is qadar wusat kahan say aaye hay tum may
woh boli, bay saroopa zindagi say kia hoaa hasil
may bola, kuch bhi ho, kuch bhi na ho akhir ajal to hay
mohabbat may safar kitna zarori hay, woh kehti hay
may kehta hoon, mohabbat may kahin tehra nahi jaata

23.
woh mujhe say poochti hay aashianay jal gayay hoo'n gay
may kehta hoon kay shayad itafakan bach gayay hoo'n gay
woh mujhe say poochti hay, aaj phir goli chali ho gee
may kehta hoon kay haan, kuch mayatein ayein hayn basti may
woh mujhe say poochti hay, aaj bhi kuch bomb pahtay hoo'n gayein
may kehta hoon, koi kahraam to barpaa tha sarko'n per
woh mujhe say poochti hay, phir aadalat mar gaye ho gee
may kehta hoon kay mujrim toh bazaat-e-khud he munsif hayn
woh mujhe say poochti hay, baadshah waqat kesa hay
may kehta hoon, bohut he mutmaaeen rehta hay beechara

24.
woh kehti hay, haawein raat say aangan may behte hayn
may kehta hoon, gohtan apna asar dekhla kay chooray gee
woh kehti hay, khamoshi farsh per saayay banati hay
may kehta hoon, uddasi vehm banti jaa rahe ho gee
woh kehti hay kay parchahian bhi ab humzada lagti hay
may kehta hoon kay tanhayee nay pagal kar diya ho ga
woh kehti hay, mere chaht per hayvlay raks kartay hayn
may kehta hoon kay yeh toh waswasoo'n nay behs badla hay
woh kehti hay, koi roota hay galion kay andehron may
may kehta hoon, juadai phir rahe ho gee musebat mayn

25.
woh mujhe say poochti hay, kia hay kuch hayraan lagtay ho
may kehta hoon kay khud ko khwab may hay mutmaaeen dekha
woh mujhe say poochti hay, kia hay itnay mutmaaeen kion ho
may kehta hoon kay khud ko khwab may hayraan dekha hay
woh mujhe say poochti hay, muztarib say lag rahay ho kuch
may kehta hoon kay dil may ishq ka mehmaan dekha hay
woh mujhe say poochti hay, kia pareshaani hay Farhat ji
may kehta hoon kay saaray shehar ko veraan dekha hay
woh mujhe say poochti hay, bad-shaagoni ka sabab kia hay
may us say poochta hoon, zindagani ka adab kia hay

26.
woh boli, aa tujhe raakh ki taseer batlaao'n
may bola, raakh ko kia raakh kay baray may bataoo gee
woh boli, aa tujhe may dasht kay maaynee baatatee hoon
may bola, aa tujhe may apnay dil may lay kar chalta hoon
woh boli, aa tujhe may zindgi ke fikr samjhaoo'n
may bola, mout kay maaray hoay ko khwab samjhaoo
woh boli, aa tujhe may hijr ka maara dekhati hoon
may bola, haan mujhetum lay chalo meray he kamray may
woh kehti hay, gubaar-e-waqat may duhndala gaya jewan
may kehta hoon, palt kar dekhna takleef dayta hay.

**
AND PLEASE PRAISE THE POET ... Farhat Abbas Shah.

PS: I do feel there is more to this ghazal/poem ... dunno if 26th page is the last page. *
*

Re: mohabbat chup nahi rehti.

Awesome poem :lajwab:

Great effort **Ghazal Kisi Ke :clap: :bb:

**Thanks for posting :slight_smile:

Re: mohabbat chup nahi rehti.

lajawaaabb :slight_smile:
thanks so much ghazal for sharing this :flower1:

Re: mohabbat chup nahi rehti.

(27) for ghazal :flower1: woh kahti hai kay tum mujh ko pukara hi nahi kartay mai bola: kya karo koi gawara hi nahi karta

woh mujh say pochti hai: kya mujhay tum yaad kartay ho
mai kahta ho kay jan-e-mun tumhay mai bhoolta kub ho

woh kahti hai: tamanain salamat hi nahi ab to
mai kahta ho kay jewan mai ye tehraoO bhi ata hai

woh mujh say pochti hai: shorash: chasham tamasa kya
mai kahta ho kay ye to shorash alam ka hisa hai

(28)

woh mujh say pochti hai byat sultan-e-gham kyu kar
mai kahta ho kay ye adaab hai rasm-e-mohabat kay

woh mujh say pochti hai: jabar par sabar musalsal kyu
mai kahta ho kay jub tak jung ki sorat nahi banti

woh mujh say pochti hai sub qayam-o-nazm kasay hai
mai kahta ho koi to hai jo sub theek rakhta hai

woh kahti hai mai rizq-e-khak bemani ho duniya mai
mai kahta ho ye sara nizaam admiyat hai

(29)

woh boli mai gul shakh tham-e-tanhaye ho farhat
mai bola mai mizar-e-hijar ho wehshat kay narghay mai

woh boli mai mataye ghair ho teray liye farhat
mai bola haan ye sadioon say mohbat ka watera hai

woh boli mai talooh-e-aftaab husn ka manzar
mai bola haan agar mai chashm-e-benaye tamana ho

woh kahti hai andheray rastoo’n say khoof ata hai
mai kahta ho abhi to qabar bhi ani hai rastay mai

(30)

woh kahti hai zamanay ka rawiya dil mai chubhta hai
mai kahta ho acchi baat hai tum mukhtalif to ho

woh kahti hai kay janay kyu khmoshi bhi khatakti hai
mai kahta ho kay mumkin hai tumhay kahna ho kuch issay

woh kahti hai samandroo’n sa koi rahta hai ankhoo’n mai
mai kahta ho kabhi meray bhi dil mai jhank kar dekho

woh kahti hai mujhay sahil say nafrat hai musebat mai
mai kahta ho kay ye to buzdili kai raiegani hai

(31

woh boli mai bohat majboor ho jewan kay chungal mai
mai is kay jhoot par bola: khuda kar rehm ho tum par

woh boli ishq hai to ishq mai milna milana kya
mai bola ishq ka apna nizaam-e-wasl hota hai

woh boli doriya’n to kuch mohabat kum nahi karti
mai bola haan magar milnay ki khwahish ko barhati hain

woh boli sath bundh janay say behtar hai bichar jahaye
mai is ki baat par dukh say hansa aur kuch nahi bola

:hmmm:

woh kahti hai safar mai kyu sitaray sath chaltay hain
mai bola jis tarha dariya kinaray sath chaltay hain

(32)


woh boli hum to ek sham-e-gareeba’n ghar mai rakhtay hain
mai bola karbala waloo’n say kuch nisbat tehrati hai

woh boli dil ki werani kay saye cheekh uthtay hain
mai bola raat kay pichlay pehar ek jashn hota hai

woh boli dard say aksar koi awaz ati hai
mai issay pochta ho kon bichra hai jawani mai

woh boli ek dewar-e-ana haiel rahi ab tak
mai bola ab talak nuqsaan bhi to hochuka kafi

woh boli raat kay mathay par teeka hai sughagan sa
mai bola haan ye peshani anookhi hai zamanay mai

let me know if you want more :slight_smile:

Re: mohabbat chup nahi rehti.

:konfusd: abhi khatam nahin hui ye

:hmmm: inj lagda ae Farhat noon koi haur kum nain si :smiley: