This ghazal is on 26 pages and each sher is worth reading it again. Here are the first 5 pages. I’ll post the rest of the pages if i see enough people appreciating this masterpiece
Urdu version will be posted upon request
Happy reading everyone!
Mohabbat chup nahi rehti - Farhat Abbas Shah
woh boli, dil ko koi bay yaqeeni hay mohabbat may
may bola, tehk hay per ishq to imaan hota hay
woh boli, arzooein dil kay andar bain karte hayn
may bola, tehk hay mujhe ko sunaye dayte hayn
woh boli, hum to jesay ek musalsal dukh kay qaidi hayn
may bola, tehk hay yeh zindage dukh ka tasalsul hay
woh boli, koi shab to khwab may bhi khwab aatay hayn
may bola, tehk hay kuch hasratein aise bhi karte hayn
woh boli, barisho may aur zyada jaa’n sulagte hay
may bola, tehk hay yeh aag pani kay masayal hayn
woh boli, raat kion muskil say kat-te hay judaye may
may bola, waqat to kayfito’n ka naam hota hay
woh boli, chahaton may dard kay rehnay ke khoish kion
may bola, dard kay maray hoo’On ko chain milta hay
woh boli, roh ke asoodge ko kia zarori hay
may bola, roh ko aalodgi achi nahi lagte
woh boli, chand ke aur chandi ke kia kahani hay
may bola, adam-o-hawa ke chahat ke nishani hay
woh boli, bay saropaa khoishein bemaar rakhte hayn
may bola, admi anro’h kay badan say nikla hay
woh boli, door reh kar dard bahr jaata hay seenay mayn
may bola, qurbatein bhi hijr kay khadshay bahrate hayn
woh boli, shaam hotay he uddasi pehl jaate hay
may bola, raat bhi toh aanso’n say ishq karte hay
woh boli, zindage may tu nahi to zindagi kab hay
may bola, her trf ek la-ublaaye mout haave hay
woh boli, ishq ka apna alhayda rung hota hay
may bola, rung ka apna alhayda ishq hota hay
woh boli, dil ko koi bay wajah say khoof rehta hay
may bola, ishq to bay-paak logo’n ka he shayva hay
** mohabbat ek pal bhi sukh nahi dayte, kaha us nay
kaha may nay,**** mohabbat kay elawa kon sa sukh hay
mohabbat shahar bahr may gonj jate hay, kaha us nay
kaha may nay, mohabbat kay chupa rehnay ke kohsis kia**
mohabbat chup nahi rehti kese pal bhi, kaha us nay
kaha may nay, mohabbat bin to kayanaat go’n’ge hay
mohabbat zahan ka ek khaas aalim hay, kaha us nay
kaha may nay, mohabbat roh ke dehleez hote hay
mohabbat bay sabab tarpayay rakhte hay, kaha us nay
kaha may nay kay yeh asbab kia shay’h hay mohabbat may
** woh kehti hay sitaray aansoo’n may kion chamaktay hayn
may kehta hoon mohabbat roshni may rung bahrte hay**
woh kehti hay, hawa kay hath may kia kia nahi aata
may kehta hoon, jo dehleezo’n kay andar dafan hota hay
woh kehti hay, zamany ko dilo’n say runj kionkar hay
may kehta hoon, yeh asar to sadion ke kismat hay
woh kehti hay, tumharay baad kion barish nahi hote
may kehta hoon, mere jaa’n hijr sehraao’n may rehta hay