Main wo kis tarah se karoon bayaan
jo kiye gae hain sitam yahaan
sune kon meri ye daastan
koi hamnasheen he na raazdaan
jo tha jhoot wo bana sach yahaan
nahi kholi maine magar zubaan
ye akela pan, ye udaasiyaan
meri zindagi ki hain tarjumaan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan
kabhi sooni subh main ghoomna
kabhi ujri shaamon ko dekhna
kabhi bheegi aankhon se jaagna
kabhi beete lamhon ko sochna
magar aik pal hai umeed ka
hai mujhe Khuda ka jo aasra
na hi maine koi gila kiya
na hi maine di hain duhaaiyaan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan
main bataoun kya, mujhe kya milay? mujhe sabr he ka sila mile kisi aagahi ki rida mile kisi dard hi ka sira mile kisi gham ki dil me jagah mile jo mera he wo mujhe aa mile rahe shaad yoon hi mera jahaan ke yaqeen me badle mera gumaan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Re: Meri Zaat Zarra-e-Benishan...whats the meaning of last Lines ??
nahi aya samjh is liye poch rahi hun app ko kya samjh aya hai app hi bata dijiye
mera abhi taka dil nahi kar raha kisi bhi shair pay ghoor karnay ko....Allah usay khush rakhay jis nay smilies ejaad ki hain...mera kaam chal raha hai aaj un say....
Re: Meri Zaat Zarra-e-Benishan...whats the meaning of last Lines ??
Main wo kis tarah se karoon bayaan
jo kiye gae hain sitam yahaan
sune kon meri ye daastan
koi hamnasheen he na raazdaan
jo tha jhoot wo bana sach yahaan
nahi kholi maine magar zubaan
ye akela pan, ye udaasiyaan
meri zindagi ki hain tarjumaan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan
kabhi sooni subh main ghoomna
kabhi ujri shaamon ko dekhna
kabhi bheegi aankhon se jaagna
kabhi beete lamhon ko sochna
magar aik pal hai umeed ka
hai mujhe Khuda ka jo aasra
na hi maine koi gila kiya
na hi maine di hain duhaaiyaan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan
main bataoun kya, mujhe kya milay?mujhe sabr he ka sila milekisi aagahi ki rida milekisi dard hi ka sira milekisi gham ki dil me jagah milejo mera he wo mujhe aa milerahe shaad yoon hi mera jahaanke yaqeen me badle mera gumaan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan
drama dekha to hoga.... saba ka character yaad hai to sab samajh aa jana chahiye
Re: Meri Zaat Zarra-e-Benishan…whats the meaning of last Lines ??
chaloo ji oper wali lino ko explain karnay ki kosish kartay hain…:sid: ghalti ho gaye tu maafi day dena…
jab insan mohabat karta hai tu beghair kisi silay staish kisi tamana k karta hai…woo apna aap apnay mahboob pay nichawar kar deta hai…us ki zindagi ka har rang us ki har sans or us ka har amal mahboob ki pasand k taaba’e ho jata hai…lakin mohabat may kab kisi ko hamesha ki khusiyan mili hai…woo apnay mahbob k liyay sab kuch qurban kar deta hai…apni hasti ko faramosh kar deta hai or jab woo hasti us say pochti hai k tumay kiya chahiyay, tu aik lehar si us k andar uthti hai k is banday ko abhi tak yeh nahi pata chala k meri zeesat ki manzil kiya hai, kitnay karab say woo khud say phir yeh sawal karta hai, main bataoon k mujhay kiya milay..kiya meri mohabat meri waraftagi nay tumhay kabhi sochnay pay majboor nahi kiya k meray rowain rowaien say kis ka rang chalakta hai, meri har sans or har dharkan kis ko pal pal pukarti hai…woo phir khud say sawal kar k khud say jawab lena shoro ho jata hai…k mujhay meray sabar ka sila he mil jayee, meray mahboob ko meri mohabat ka pata he chal jayee, mujhay meri mohabat k dard ka koi aik sira mil jaye k may us ko pakar k zindagi us k saharay guzar doon,phir woo duain mangta hai, phr ragoon may khoon nay mahboob say milnay ki dua dorti hai…phir woo khud RAB k hazoor sara-pa-e-dua ban jata hai k aye Allah tu isay he mera naseeb bana day, woo dua mangta hai k apni mohabat ki jo dunia may naay abad ki hai woo hamesha aisi he rahay lakin mohabat may kab kisi ko khushi mili hai…mohabat may ansoon ka sawaan or qurbani ka mosam lazim hai, hijar ki ratain bhi katni parti hain or judai ka azab bhi sehna parta hai…insan ko jab mohabat hoti hai tu haqeeqatain us ko nazar anay k bawajood woo khush feham rehta hai…shair ko haqeeqat pata hai k mahboob say milna meray muqadar may nahi lakin…woo umeed ka chiragh roshan rakhta hai k shayad mera gumaan haqeeqat ban he jayee lakin yeh shayad he zindagi ka ghum ban k us k dil may rehta hai…aye dost, aye mohabat k musafir koi kabhi kisi ka howa bhi hai…aik hasti he aisi hai jis say mohabat karoo tu woo insan ki mohabat ka jawab 70 gunna ziada mohabat say deti hai…duniya ki mohabat fani hai…aye nafas,aye meri zaat
Us ajnabi ka youn na intezaar karo
Is aashiq dil ka na aitbaar karo
Roz nikla karein kisi ki yaad mein aansoo
Itna kabhi na kisi se pyaar karo…