Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

Oh :bummer: I hate when boys do that. I wish I had a baalti of rung wala paani to throw at them. :femme:

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

Dheet logon ko chamat ka asar nahi hota… woh konsi film hia… R Rajkumar… Shahid Kapoor kissed the hand of Sonakshi Sehna… :devil:

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

lol pakistani qaum… waqai bari dheet hai. pata nahi maayen kya kya khilaati hain apne larkon ko.

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

ammain bhi aajiz aachuki hian...

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

Saif ul malook

Awwal hamd sanaa ilaahi
Jo maalik har har da
Us da naam chataaran wala
Kisay maidaan na harda

Tay jay vekhaaN maiN amlaa wallay
Tay kuj nai mere pallay
Tay jay vekhaaN teri rahmat wallay
Tay ballay ballay ballay

Tay ik gunaah mera maa peyo vekhay
Tay devay des nikaala
Tay lakh gunaah mera Allah vekhay
Tay o parday paavan waala

Tay adal kareN tay thar thar kamban
UchiyaN shaanaN waalay
Fazl kareN tay bakshay jaavan
Mai jay vee muh kaalay

Tay changee soorat tay aashiq hona
Kaadi ae daanaayi
Aashiq ban tu ous sohnay da
Jis ae shakal banaayi

Tay maiN anna tay tilkan rasta
Devay kaun sambhaala
Takkay devan waalay botay
Tay tu hath pakran waala

Sufnee de vich mileyaa mahi
Tay maiN gal vich pa laiyaaN baavaN
Oh dar de maaray ankh na kholaaN
Kittay fer vichar na jaavaN

Tay sab saiyyaan rall paani nu turiyaaN
Tay koi koi mur si parr ke
Tay jinna ne parr ke sir tay tareya
O per rakhan dar dar ke

Hass hass jinna qadr na mera
Tay mere saahib nu vadde’aaiyaN
MaiN galiyaN da roor’ra koor’ra
Tay mehal charrhaya saai’yaaN

Tay bailee bailee sab jag aakhay
Tay maiN vi aakhaaN bailee
Us din da koi nai jay bailee
JidduN niklay jaan akailee

Tay lae o yaar hawaalay rab de
Tay mellay chaar dinaaN de
Ous din eid Mubarak hosi
Jis din fair milaaNge

By: Mian Muhammad Bakash
Edit: By Waris Shah

In Hina Nasrullah’s voice: Awal Hamd by Hina Nasarullah - YouTube

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

video and poetry are different. Video one is by Waris Shah's Heer

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

^ thanks, I didn't know.

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

umdah intakhabat 1 2 ka 4 sis.. :smokin:

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

Thank you, Lucid! :flowers:

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

Muqawwee, my four days are up. You can un-stick this thread now, but please don't close it. I might post something more in future.

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

10 ho gye hain kya?

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

ye 7 dinon ka program tha. You got 2 more days.

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

:bummer: I thought it has been 7 days already. Meri ginti kharaab hai ya app ki? Jan 24 to Jan 31.

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

24 aur 31 ko count nahin kia gya

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

January 31 to abhi aadha guzra hai na

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

january 31 poora kab ho ga

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

Us ka mukh ik jot hai ghoonghat hai sansaar
Ghoonghat meiN wo chup gaya mukh per aanchal daar

Zaahid ne mera haasil-e-imaaN nahiN dekha
Rukh per teri zulfoN ko pareeshaaN nahiN dekha

Her haal meiN bus pesh-e-nazar hai wohi soorat
Main ne kabhi roo-e-shab-e-hijraaN nahiN dekha

Aaye thay sabhi tarah ke jalvay meray aagay
Main ne magar aye deeda-e-hairaa.n nahin dekha

Kiya kiya hua hangaam-e-junooN yeh nahiN maaloom
Kuch hosh jo aaya to gareebaaN nahiN dekha

By: Asghar Gondvi

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

very nice Ghazal of AsGhar GonDvii, Madz. thanx for posting.

Abida Parveen used a dohaa ahead of the Ghazal...the first she'r is part of that dohaa which wasn't written by AsGhar. probably, it was written by Amnir Khusro.

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

Ab to uTh saktaa nahiiN aankhoN se baar-e-intazaar
Kis tarah kaaTe ko'ii lail-o-nahaar-e-intazaar

Unkii ulfat kaa yaqiiN ho unke aane kii ummiid
HoN ye dono suuraten tab hai bahaar-e-intazaar

Merii aaheN naa-rasaa, merii duaaeN naa-qubuul
Yaa ilaahii kyaa karuuN maiN sharmsaar-e-intazaar

Unke Khat kii aarzuu hai, unkii aamad kaa Khayaal
Kis qadar pailaa hu'aa hai kaarobaar-e-intazaar

By: Hasrat Mohani

Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (madz124)

Unke Khat kii aarzuu hai, unkii aamad kaa Khayaal
Kis qadar pailaa hu’aa hai kaarobaar-e-intazaar

chale bhi aao ke gulshan ka karobar chale :hinna: