Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
My favorite as well :k:
ab aakhri poem 
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
Last but not least 
Aisay tootay hain..
**Aisay tootay hain tamannaon k pindaar k bas
Main ne jhealay hain mohabbaton mein woh aazaar k bas
Ek dhamakay mein zamanay meray hathon se gaye
Is qadar taiz hui waqt ki raftaar k bas
Tu kabhi rakh k hamein dekh to bazar k beech
Is tarah toot k ayen gay kharidaar k bas
Kal bhi sadiyon ki musafat pay thay dono
Darmiyan aj bhi parti hai woh deewar k bas
Yeh to ek zid hai k Mohsin mein shikayat na karun
Warna shikway to hain itnay meray yaar k bas..!!!**
**
Mohsin Naqvi**
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
bas pe bas kia aap ne 
kahan gai jiia 
jiia
44
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)


Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
yayyy ab jiia ki bari 