Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
**Hum ne ghazlon mein..
Hum ne ghazlon mein tmhen aisay pukara Mohsin
Jaisay tum ho koi qismat ka sitara Mohsin,
Ab to khud ko bhi nikhara nhi jata hum se
Woh bhi kya din thay k tujh ko bhi sanwaara Moshin,
Apnay khwabon ko andheron k hawalay kr k
Hum ne sadqa teri ankhon ka utara Mohsin,
Humko maloom hai ab loat k ana tera
Hai nhi mumkin pr phir bhi Khudaara Mohsin,
Hum to rukhsat ki ghari tak bhi na samjhy isko,
Saans deti rahi hijrat ka ishara Mohsin,,
**
Mohsin Naqvi

**Yaad aaonga.. **
**Tum meri ankh k tewar na bhula pao gay
Ankahi bat ko samjho gay to yad aonga
Hum ne khushiyon ki tarah dukh b ikathay dekhay
safah-e-zeest ko palto gay to yad aaonga
Isi andaz mein hotay thay mukhatib mujh se
Khat kisi or ko likho gay to yad aonga
Sard raaton k mehektay huay sannaton mein
Jab kisi phool ko choomo gay to yad aaonga
Ab teray ashk mein honton se chura leta hun
Hath se khud inhen poncho gay to yad aaonga
Shawl pehnaaye ga ab kon December mein tmhen
Barishon mein kabhi bheego gay to yad aaonga
Aj tum mehfil-e-yaaran pay ho maghroor bht
Jab kabhi toot k bikhro gay to yad aaonga
Hadsay ayen gay jeewan mein to tum ho k nidhaal
Kisi deewar ko thamo gay to yad aaonga
Is mein shamil hai meri bakht ki tareeqi bhi
Tum siyah rang jo pehno gay to yad aaonga.. **
Wasi Shah

interesting ghazal. each shair is maqta' containing name of poet

Wasi Shah.. not bad
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
Wasi Shah.. not bad :D
mujhy to inki bs yehi ghazal pasand hai ...
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
**Na ganwao navak-e-neem kaash...
**Na ganwao navak-e-neem kaash, dil-e-raiza raiza ganwa diya..
Jo bachay hain sang samait lo, tan-e-daagh daagh luta diya..
Meray charahgar ko naveed ho, saf-e-dushmana'n ko khabar kro..
Woh jo qarz rakhtay thay jaan per, woh hisab aj chuka diya..
Karo kaj jabeen pay sar kafan, meray qatilon ko gumaan na ho..
K ghuroor-e-ishq ka baankpan, pas-e-marg hum ne bhula diya..
Udhar ek harf ki kushtani, yahan lakh uzer tha guftaani..
Jo kaha to sun kr ura diya, jo likha to parh kr mita diya..
Jo rukay to koh-e-giraan thay hum, jo chalay to jaan se guzar gaye..
Raah-e-yaar hum ne qadam qadam, tujhy yadgaar bna diya.. :(
Faiz Ahmed Faiz
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
Jo rukay to koh-e-giraan thay hum, jo chalay to jaan se guzar gaye..
Raah-e-yaar hum ne qadam qadam, tujhy yadgaar bna diya
jiia
December 15, 2013, 4:14pm
29
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
khubsoorat speed ahista rakho zara
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
baqi 2 uske baad aap ki baari. ab tak kitni selct ki hain?
jiia
December 15, 2013, 4:27pm
31
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
2 ko abhi 2 din lagen gy

dekh lein gay
tum tyari mukammal rakho,mera koi pata nhi
jiia
December 15, 2013, 5:04pm
33
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
maar dalungi

maar do
jiia
December 15, 2013, 5:07pm
35
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
aram nal
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
maar do
cheti cheti… waiting for 2 more lovely poems
jiia
December 15, 2013, 5:31pm
37
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
ap kuch b ker len
me us k oper beth gai hun
ehsan
December 16, 2013, 7:11am
38
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
Nice selection.

*Hazaron khawahishen aisi..
*
Hazaron khawahishen aisi k hr khwahish pay dam niklay
Bohat niklay meray armaan lekin phir bhi kam niklay
Daray kyun mera qatil, kya rahega uski gardan per?
Woh khoon jo chashm-e-tar se umer bhar yun dam ba dam niklay
Nikalna khuld se aadam ka suntay aaye hain lekin
Bohat be aabroo ho kr teray koochay se hum niklay
Bharam khul jaye zalim teri qaamat ki darazi ka
Agar is turra-e-kham ka pech-o-kham niklay
Hui jinse tawaqo khastagi ki daad paanay ki
Woh hum se bhi zyada khasta-e-taigh-e-sitam niklay
Mohabbat mein nhi hai farq jeenay or marnay ka
Usi ko dekh kr jeetay hain jis kafir pay dam niklay
Zara kr jor seenay pay k teer-e-pur sitam niklay
Jo woh niklay to dil niklay jo dil niklay to dam niklay
Khuda k wastay parda na abhi se utha zalim
Kahin aisa na ho yan bhi wohi kafir sanam niklay
Kahan maikhanay ka darwaza Ghalib or kahan Waiz
Per itna jantay hain, kal woh jata tha k hum niklay..
Mirza Ghalib
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (khubsoorat)
Nice selection.
aap bhi selection ready rakhen.jald hi aap ki bari aane wali hai