**Meray Ajnabi !!
Meray Bay-khabar!!
Meray haath mein kahaan ye hunar??
k main beech raah sey wapsi ka
khayaal dil mein bhii la sakun.
Tumhain chohr kar, kisi mor par
kisi aur rastay pe jaa sakun.
Meray chaara-saz-o-rafiq-e-jaan !!
Meray Ajnabi !!! Meray aashna !!
Koi aisa wesaa guman na kar.
Mujhay teray sath sey barh k tou
kisi hamsafar ki talab nahi.
k jo haath main tera hath hey,
tou safar hii meri hayaat hey.
Ye safar thamay ga….
tou mera naam-o-nishan kahan?
Meray hamsafar!!
main teray bina.
kahin moat-o-zeest k darmiyaan
na zameen meri na aasmaan.
Meray badgumaan!! Meray mehrbaan!!
Meray raah-bar !!
Meri iltajaaon pe dhiyaan kar.
Meri zindagi k safar ko dil sey dawam day.
Meri manzilon ko dhuwaan na kar.
Tera saath hey meri zindagi
mujhay is tarah be-amaan na kar……..**