meray humsafar teri nazar hain meri umar bhar ki dollatain
meray shair, meri sadaaqatain, meri dharkenain,meri chahatain
tujhay jazab kar loon lahoo mean ke firaaq ka na rahay khatar
teri dharkan,on mean utaar doon yeh khwaab khwaab rafaaqatain
yeh redaa-e-jan tujhay sounp doon ke na dhoop tujh ko kari lagay
meray jeetay jee tujhay dukh na daen kisi mehar-e-gham ki tamaazatain
meri subah teri sada se ho meri sham teri ziya se ho
yahi tarz-e-purshish dil rakhen teri khusbo,on ki safaartain
koi aisi bazm-e-bahaar ho jahan main yaqeen dila sakoon
ke tera naam hai fasal-e-gul, ke tujh hi se hain yeh karaamatain
tera qarz hain meray roz-o-shub, meray paas apna tou kuch nahi
meri rooh meri mataa-e-fun meri saansain teri amaanatain