meray bin tumhain ghar wo kaisa laga hai
kabhi gar milo to mujhay bhi batana
har ek ki zarorat ko malhooz rakhna
har ek ki mohabbat ko mehsoos karna
buhat pyar karna buhat dukh uthana
meray bin tumhain ghar wo kaisa laga hai
kabhi gar milo to mujhay bhi batana
mera batain karna mera muskurana
mera khali bistar mera wo thikana
guzarti hawaon nay pocha to hoga
nikharti fizaon nay pocha to hoga
kaha hai rafiq-e-safar wo purana
kami kuch lagi hai meray bin kisi ko?
kabhi yaad aya mera kuch kisi ko
main dukh apnay honay na honay ka jano
kabhi gar milo to mujhay bhi batana
kisi k bina koi marta nahi hai
zamana kahin aa k rukta nahi hai
jaga koi bhi khali rehti nahi hai
kahin bhi kami koi rehti nahi hai
buhat yaad karna magar bhool jana
yehi hai haqeeqat yehi hai fasana
MERAY BIN TUMHAIN GHAR WO KAISA LAGA HAI
KABHI GAR MILO TO MUJHAY BHI BATANA