mErA nAsEEb

**Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha
**
Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha

Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha

Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha

Re: mErA nAsEEb

buhat aala :k:

Re: mErA nAsEEb

Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha

next time compass ka istemal karein

Re: mErA nAsEEb

Bohat Khoob…:k:

Re: mErA nAsEEb

compas ka istemaal nahi aata

Re: mErA nAsEEb

tu phir 250 grams bajra jeeb mein daal lein, jahan say guzrein phenktay jaya karein, nishani kay tur par

Re: mErA nAsEEb

jab pass rakho gay to istimaal bhi aa hi ja`ay ga............

Re: mErA nAsEEb

Kisi aisi cheez ka zikr kryn jo baqi bhi rahay........... bajra to ChiRya kaha ja`ay gi.........

Re: mErA nAsEEb

isi liyay tu bajra kaha hai, ta kay nasehat ho aur ayenda compass ka istemal sekhein

Re: mErA nAsEEb

Phr theak hy…:k:

Re: mErA nAsEEb

:k:

Re: mErA nAsEEb

niceee :k: