~ Mein ne is ko yaheen khoya thaa ~

**
Sar-e-Mehfil
Kaheen jo mil jaaye
Us se kehna
Ke tera mutlaashi
Aaj bhi rahguzar pe betha hai
Aur wahaan se guzarne waloon ko
Tera hulleya bata kar kehta hai
Tum ne is ko kaheen dekha hai?
Mein ne is ko yaheen khoya thaa !**

Nice..........

Arif jee! Woh maza nahi raha, kia baat hay?
kabhi kabhi Joshanda istemaal kia karain ... Allah behtar karay ga

great:k:…

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Arif jee! Woh maza nahi raha, kia baat hay?
kabhi kabhi Joshanda istemaal kia karain ... Allah behtar karay ga
[/QUOTE]

Arif kuch kho bethe hain...banwlon see baatein karta hai..samjha karo na bhaee :D

[QUOTE]
*Originally posted by Capricorn: *

Arif kuch kho bethe hain...banwlon see baatein karta hai..samjha karo na bhaee :D
[/QUOTE]

hummm

Hay ta'aqub main gizaaN ka mousam
Kia koi phool khela hay mujh main

Re: ~ Mein ne is ko yaheen khoya thaa ~

Very nice! :slight_smile:
Aap nay bataya nahee, TALAASH e GUMSHUDA ka yeh ishtehaar kab laga tha newspaper main… Just Kidding…:bukbuk:

Aap sab ki muhabbat aur nawazish ka shukriya !

Tujh ko duniya kuch nahee kehti lekin mujh ko Pagal
Meri jeet adhoori hai aur teri haar mukkammal
Mere pyar ki shiddat dekho jab bhi ashk bahaaoon
Teri aankh mein aajata hai meri aankh ka kaajal

no problem Arif jee, tusi khush raho :K:

khush?

Ab dil ke fasane ko beyyan karte hain aansoo
Ab hum se tere dard ki hifazat nahee hoti

Arif jee Hunrr tussi khush ho?

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Arif jee Hunrr tussi khush ho?
[/QUOTE]

Badla huwa hai aaj mere aansoo'on ka rang
Shayad ke dil ke zakhm ka taanka uddhar gaya

Thanks Azad... !

Buhat khatarnaak nishanee hai yeh to :eek:

Wahhh…:k: kia kehnay

Bhooli bisri chand umeedain chand fasane yaad aye
Tum yaad aye aur tumhare sath zamane yaad aye
Hansne waloon se dartay thay chup chup kar ro letay thay
Ghehri ghehri soch mein doobay do deewane yaad aye

Re: ~ Mein ne is ko yaheen khoya thaa ~

[QUOTE]
Originally posted by arifnawaz: *
*

Sar-e-Mehfil
Kaheen jo mil jaaye
Us se kehna
Ke tera mutlaashi
Aaj bhi rahguzar pe betha hai
Aur wahaan se guzarne waloon ko
Tera hulleya bata kar kehta hai
Tum ne is ko kaheen dekha hai?
Mein ne is ko yaheen khoya thaa !**
[/QUOTE]

bahut khoob waisay agar GS per khoya tha tu kitno ko lolzz

well ab afsoos hi karsakhtay hain aap per thanks 4 sharing!!

Re: Re: ~ Mein ne is ko yaheen khoya thaa ~

.................

Re: Re: Re: ~ Mein ne is ko yaheen khoya thaa ~

[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *

Nahee Gupshup per nahee Clifton mein khoya thaa, bolo tu poora address bhi likh doon ke kahaan per khoya thaa?

Aur aap barah-e-karam apna afsoos apne paas rakheyay sambhaal kar aur fikar na karain aaj hum per afsoos karne walay kal khud pasheeman honge !
[/QUOTE]

huh kaisay kaisay logh kaisi kaisi bataien bas bataien hi hain ...
pasheeman tu unkay karam sey kabhi nahin hongey !! haan samnay walay ka maloom nahi!!

Re: Re: Re: Re: ~ Mein ne is ko yaheen khoya thaa ~

..............

Re: Re: Re: Re: Re: ~ Mein ne is ko yaheen khoya thaa ~

[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *

Yeh wohi log hain jo kal tak aap ki nigah mein thay aaj shayad wahaan kisi aur ka basera hogaya... !
[/QUOTE]

dhoka tha aur fareb tha nigaah tu sahi thee per samnay wala is kabil nahin tha !! haan wahan basera kisi ka bhi ho waisay mr ap ka apnay baray main kia khayal hai sunay main araha hai aaj kaal aap aur gupshup ki ....