Mehfil-e-Unwan...Gulaab

Re: Mehfil-e-Unwan...Gulaab

Nazuki uske lab ki kia kahiye
pankhri ik gulaab ki see hai

baar baar uske dar pe jata huun
halat ab izteraab ki see hai

Meer Taqi Meer

Re: Mehfil-e-Unwan…Gulaab



 

ye khyaal saray hain arzi, ye gulaab saray hain kaghzi gul-e-arzoo ki jo baas thay woh logh mujh say bichar gaye jinhain karsaka na qabool mai, woh shareek-e-rah-e-safar huway jo meri talab meri a'as thay wohi logh mujh say bichar gaye

Re: Mehfil-e-Unwan…Gulaab

:blush:

Re: Mehfil-e-Unwan...Gulaab


kabhi tu aye to mil kay sochain ye ikhtilaf-e-nisaab kyu hai
meray saheefoo'n mai rakh teray warq warq mai gulaab kyu hai
isi farpeb-e-nazar nay meray janoo'n ko pagal kya huwa hai
meray samandar bhi tishna lub hain teray khila mai sahaab kyu hai

Re: Mehfil-e-Unwan...Gulaab

Badan mein aag see chehra gulaab jaisaaa hai
ke zehr-e-Gam kaa nashaa bhee sharaab jaisaa hai

Re: Mehfil-e-Unwan...Gulaab

kiyaa mujh ishq ne zaalim koh aab aahistaa aahistaa
ke aatish gul ko karati hai gulaab aahistaa aahistaa

Re: Mehfil-e-Unwan...Gulaab

zakhmon ke gulaab khil rahe hain
Khushbu ke hujuum mein khara hoon
is dasht-e-talab mein eik main bhi
sadiyon kee thaki hui sada hoon

Re: Mehfil-e-Unwan…Gulaab

Beautiful gulaab shab :slight_smile:
***

Re: Mehfil-e-Unwan…Gulaab

nice contribution bl and ehsan g…kuch auR gulaab ikhtha kaRan na :blush:

Re: Mehfil-e-Unwan…Gulaab

jano gi kuch post nahi aur na hi mujhay call ki why why why :teary3:

Re: Mehfil-e-Unwan...Gulaab


Gaye mousam main jo khiltay thay gulabooN ki tarha
Dil par utray gay woHi khuwaab aza'bon ki tarha
Rakh kay dheer par ab raat basar karni hai
Jal chukay haiN meray khemay, meray khuwaboon ki tarha

Re: Mehfil-e-Unwan...Gulaab

gulab ko reit kee metee per rakh dena
gulab ko masl na nahi
jukh ker pakr leina
semhjna mey ney nahi diya tha kabhi
gulab ko gulab semjho
mujh ko nahi, na sahi
meirey diyey gulab ko..
uss gulab ko kabool ker lo