kuch log*** gulabooN*** ko kitabooN maiN dabatey haiN
uU'Raaq kitabooN k khushboo ko churaatey haiN
jo hoontooN pe laatey nahi alfaaz hamesha
wo jo baat hai dil maiN nazRoon se batatey haiN
saal-e-noo maiN gulaab dheRooN khi'lany haiN roothey huwey dost saRay mana'nay haiN band aa'nkhooN maiN jo chubh rahy haiN ray'et ki tarha palkooN ko khol k aansoo saaRay giRany haiN
sanwla gaye haiN rang rukh-e-mahtaab k muRjha gaye kalaa'ee maiN gajRay gulaab k ab k baRas b jo tu na aa'yaa to dekhna muj ko maaR dalaiN gaiN taa'nay chanab k
nayee rutaiN naye khawab haiN auR chahatooN k silslay
saal-e-no k sung maiN teRi gulaab rifaqatooN k silslay
kabhi diN bhaR tujahy soochna kabhi raat bhaR se jaagna
teRi yaad hai maiN hooN auR january ki shaamooN k silslay
misaal barg-e-khizaan hai hawa ki zad pay ye dil
najanay shakh say totay to phir kidhar jaye
mai yu udaas ho kay jasay rang-e-gulaab
khizaa'n ki chaap say besakhta utar jaye
Meray zoq-e-sajda kay samnay mera koi gham na tha'hr saka
Wohi ek lamhay ki hazri meri har khalisH ko mita gaye!
Meray ghaR say teray ghar tak ye wohi sunahri gulaab thay
Jinhay ansoo-N ki bahar-e-no meray rastay maiN bicha gaye!