***wo aik shakas Gulaab sa meRa humsafaR kia bana***
***dil-e-badgumaa'N ki sooch maiN so inqlaab aa'gaey***
***wo reshmi sa aik akaas meRi zindghi pe kia paRa***
***jesay raastoN maiN haR taRaf roshni se ho gaa'ee***
muhabatooN k khiley jab gulaab<!-- google_ad_section_end --> aa'nkaooN maiN kisi k khawaab rhay be-hisaab aa'nkhooN maiN kabhi jo loat k aa'na ho tu aa kaR paRh laiNa maiN likh rahi hooN juda'ee k baab aa'nkhooN maiN
uU'mand uU'mand k chalay aa'ey phiR sehaab kaa'ee wo loat aa'yaa tu khilnay lagay gulaab kaa'ee ye auR baat hai k aik tuj pe he nazaR thehaRay ik ik ufaaQ pe haiN waRna mah'taab kaa'ee
bohat haseeN hai teRi aqeedatooN k gulaab haseeN taR hai magaR haR gul-e-khayal teRa hum aik daRd k rishtey maiN munsilak dooNo tujhay aziz meRa fuN mujhay jamal teRa
lahoo lahoo se gulaabooN ki daastaa'N dekho huway haiN qatal bahaRooN maiN gulistaa'N dekho soo'ey falak tu sadaa dekhtey he rahtey ho kabhi tu palkooN pe bikhRi ye kahkashaaN dekho
woh ghazal ki ek kitaab tha woh giloo'n mai ek gulaab tha
zara dair ka koi khwaab tha jo guzar gya so guzar gya
mujhay pat jharoo'n ki khaniyaa'n na suna suna kar udaas kar
to khizaa'n ka phool hai muskura jo guzar gya so guzar gya