Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
kisi be’wafaa ki yaadeiN kisi dil’ruba ke parchey
bhala aur kya miley ga ab kisi ko merey ghar sey
meri hasratoN ki dharti saari umr rahey gi banjar
teri qurbatoN ke baadal kaheiN aur jaa ke barsey
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
Yaad-e-Maazi Azaab Hai Ya'Rub
Chheen Le Mujh Se Hafiza Mera
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
'Yaad' Ke Bay-Nishaan Jazeeron Se
Teri Aawaz Aa Rahee Hai Abhi..
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
Raat Yuun Dil Main Teri Kho-e Hui 'Yaad' Aai
Jese Veeranay Main Chupke Se Bahaar Ajaye
Jese Sehra-on Main Holay Se Chalay Baad-e-Naseem
Jese Beemar Ko Bay-Wajha Qaraar Ajaye
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
Hum Usay 'Yaad' Buhat Ayen Ge
Jab Usay Bhi Koi Thukraye Ga..
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
Waabasta Meri 'Yaad' Se Kuch Talkhiaan Bhi Theen
Acha Kia Jo Tunay Faramosh Ker Dia..
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
Nahi Aati To Unki 'Yaad' Maheenon Tak Nahi Aati
Magar Jab Yaad Aatay Hain To Aksar Yaad Atay Hain
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
Na Janay Dushmanon Ki Kon Si Baat 'Yaad' Aagai
Labon Tak Aatay Aatay Bad-Dua He Aur Hogai
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
Nidhaal Hokay Rukay Hain Jahan Qadam Farigh
Kisi Ki 'Yaad' Ne Aaker Thakan Utaari Hai..
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
Main 'Yaad' Dilaata Hoon Shikayat Nahi Kerta
Bhoolay Huay Iqraar Pe Tanqeed Ka Haq Hai
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
yaad uski itnee khob nahi meer baaz aa
phir wo zalim jee say bhulaya na jayega
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
yaad karta ho to rota hai koi seenay main
dil dharkata hai to matam ki sada atee hai
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
isss zindagi me itni faraghat kisay naseeb
itna na yaad aa k tujhay bhool jayen hum
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
es zindagi main itnii faraghat kesay naseeb
itna na yad aa k tujay bhool jain hum!!!!
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
Ghari Pehli Mohabbat Ki Ajab Thee
Abhi Tak 'Yaad' Ke Dar Per Khari Hai..
Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad
HOta haii meray Dard ka har roop Anukha *
*Aati haii tarii yad kaye bhees badal kar !!