Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

EhsaaN Koi Apnaa Buaray **WAQT **main Nahee'N
Ahbaab Bay Wafaa Hain , Khuda Bay Niyaaz Hay

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Chalo Na Ishq Hee Jeeta , Na Aqal Haar Sakee
Tamaam** WAQT** Mazay Ka Muqaabla Tou Raha

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Wo daag yaadoN ke bad-numa tu ney mitaaey tou heiN par sab nahi
masiha-e-waqt merey zehan par aesey kuch nishaaN abhi aur heiN
abhi kaawishoN meiN lagey raho zara saaNs leney ko ruko nahi
mujhey hey yaqeeN yaheiN aas paas naey aasmaaN abhii aur heiN

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Waqt ke haath tum ney apna har khaab beych diya
par ye meri wafa ka bhaao hey jo girta hi nahi hey
sehra ney thak haar ke ye poocha hey falak sey
kya faaeda us baadal ka jo barasta hi nahi hey

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Chashm-e-Hairat Se Unhi Ko Dekhti Hai Kainaat
Waqt Ke Darya Main Jo Humne Bahaye Hain Charagh

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Chalo Na Ishq He Jeeta Na Aql Haar Saki
Tamaam Waqt Mazay Ka Muqab'la To Raha

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Mushkil kahan thay tark-e-taa'luq k LAMHAY
aey dil sawaal magar tairii zindagi kaa thaa

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

*Waqt ki chakki ney peeca hey is qadar
dhool ban ke reh gaya meiN apney aap meiN
*

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Yay din yay raat yay lamhay achay lagtay haiN
Tumhain soochooN to saray silsilay achay lagtay haiN
Bohot dour tk chalna mager phir bhi waheeN rehna
Mujhay tum say tumhi tk dairay achay lagtay haiN

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

nahi kuch khabar ke kis ghaRii teray raaston ka siraa milay
teray naqsh-paa ki talash mein lagii tou hay meri justajoo
yeh yaad thaa ke dua karoon par uthay rahay meray haath yun
jaesay khawahishon kay hujoom mein kahin khoh gaii teri arzoo

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

BigRey ko bananey meiN Waqt zaaya nahi karta
meiN uljhey huwey dhagoN ko suljhaya nahi karta
jo chaho tou mil lo ke abhi dastaras meiN hooN
meiN waqt ki tarhaaN lout ke aaya nahi karta

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

AaNkheiN khuleiN tou khaaboN ko bura laga magar
kuch deir wo reh ke muztarib khud hi behal gaey
pehley pehal to ajeeb lagey badley huwey chehrey
phir yuN huwa ke waqt ke saath hum bhi sambhal gaey

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Yaad ka kya hey yaad ko aaney dena
aur nighahoN ko ashq bhi bahaney dena
waqt ki gard sey magar dil ko bachana ho ga
apni nazar ko merey khaab na bhulaney dena

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Jo Zindagee Thee Mayri Jaan ! Tayray Saath Ga'ee
Bas Ab Tou Umer Kay Naqshay Main WAQT Bharna Hay

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Maut Bhi Waqt Par Nahee'n Aati
Zindagi Kay Sitam Niralay Hain

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Chahay koi jaisa b ho, humsafar ho sadiyon se
raasta badalneyy meinn dairr kitnii lagtii haii..
yeh WAQT k bass mein hai k kitni mohlat dey
warrna bakht dhallney mein dair kitni lagti haii

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Toott Ja'in Na Kaheen Pyaar K Nazuk Rishtay
**Waqt **Zalim Hay Har Morr Pay Takra'ey Ga ...!!

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Kissi Kay Hijr ka Phir Imtihaa'n Toott Parra
Humaray Dil pay Koi Aasmaa'n Toott Parra
Bas Aik Lamhay Ko Kamzor Parr Ga'ey Thay Hum
Us Aik Lamhay Main Sara Jahaa'n Toott Parra

........................................................................

Tumhain Khabar Hee Naheen Tum Tou Lautt Jaogey
Tumharay Hijr Main Lamha Bhi Saal Hona Hay
Milaingee Hum Ko Bhi Apnay Naseb Ki Khushyaa'n
Bas Intizar Hay Kab Yeh Kamal Hona Hay

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

Kuch aesey log jo zehan sey nahi bhulaaey jaatey
kuch aesey lamhey jo dil sey nahi mitaatey jaatey
dard ki chaadreiN meri ghazloN ko dhaaNp leti heiN
mujh sey sheiroN meiN naey rang nahi dikhaey jatey

Re: Mehfil-e-Unwaan — Waqt/Gharri/Lamhey

yahaN ik lamhey ke parrao meiN merey sarey phool jhulas gaey
ab jahaaN talkhioN ki tappish na ho mujhey uss fiza kii talaash hey
mujhey deikh kar jo ik nazar merey sarey dard samajh sakey
jo is qadar ho chaara-gar mujhey uss nigaah kii talaash hey