Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

tu falak hey to meri manzil ka pataa dey mujh ko
tu chaand hey to kisi roz meri raahoN meiN utar

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


Ik Chand ki talaash main ghomain nagar nagar
Lotay tu Aasmaan nay sitaray bujha diye..........

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


kabhi to aasmaa'N se chaand utare jaam ho jaaye
tumhaare naam kii ik Khuubasuurat shaam ho jaaye

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

:)

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


ye **chaand **agar kabhi taaroN sey kisi roz larrey to kya ho ga!
kisi roz yuNhi zid meiN aa kar na raat dhaley to kya ho ga!

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

now this stuff is good. thanks for sharing...

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

[Zindagi Eik sulagti si Chitta hay saahir
Shola banti hay na yeh bujh k dhuwaan hoti hay

Jabb raat ki tanhayee dil bann k dharakti hay
yaadoon k dareechay main chilman si sarakti hay
Yoon piyar naheen chupta palkoon k jhukanay se
aankhoon k lifaafoon pe tehreer chamakti hay](“http://www.paklinks.com/gs/showthread.php?t=243692”)

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Ohh main nay guzashta unwanaat k shair post karr diye :confused:

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Ek saada sa shair hay jo main nay shayad ki bass main ya van parha tha

Poocha jo un se chand nikalta hay kiss tarah
Zulfoon ko rukh pe daal k jhatka diya k yoon

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Is liye bhi raat ko ghar se nikal ata hon mein
Sardiyon ke chaand ko ehsaas e tanhai na ho..

Hi,

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Teri Aankh Main Apna Aks Dekh Kar
Kajal Honay Ko Jee Chahata Hai

Chandni Dekh Kar Humain Bhi
Chaand Honay Ko Jee Chahata Hai

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Zameen hai so woh apni hi gardishon mein kahin
Jo chaand hai so woh toota hua sa lagta hai

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Chubhti hai qulb o jaan main sitaron ki roshni
Aey chaand doob ja ke tabiyat udaas hai

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

*Zubaan he saath deti hai na dil kabuu mein rehta hai
Use jab ro-baroo apne bitha kar baat karte hain
Agar shab mein akela ho kabhi wo chaand ka tukraa
Sitare us se aangan mein utar kar Baat Karte hain *

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Chaand Taaron Se Sajii Raat Bhalaa Kya Maange
Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Apnay Deeye Ko Chaand Bataanay Ke Waastay....
Basti Ka Har Chiraag Bhujana Para Ussay....

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Puraa dukh aur aadhaa chaand
Hijar kii shab aur aaisaa chaand

Itane ghaney baadal ke piichhe
Kitanaa tanhaa ho gaa chaand

Merii karway par jaag uthe
Niind ka kitanaa kachaa chaand

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Usay dekhe zamanay bhar ka yeh chaand
Hamari chaandni saaye ko tarsey


Jhon Aeliya

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Seharaa seharaa bhaTak rahaa hai
Apanee ishq mein sachaa chaand

**Raat ke shayeed aake baje hain
Sotaa hogaa meraa chand *
*


Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

NIce sharings by all of you ! Thanks khush rahiye AMin!!!


beiNg LOn3lY !!! sId !!!