Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


main udaas chand ka baagh hon,mai gaye dino ka suragh ho
meri shakh shakh jhulas gaye , mera phool phool bikhar gya

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


raat ki rah mai taroo'n ki kamaa'n roshan hai
chand mai kon hai ye kis ka makaa'n roshan hai
jis ko dekho meray mathay ki taraf dekhay hai
dard hota hai kaha aur kaha roshan hai

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


zara dekh chand ki patioo'n nay bikhar bikhar kay tama'm shab
tera naam likha hai rait par koi lehar akay mita na day

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

wo Chand chehRay wo behki bateiN
sulagtay din thay, sulagti raa'tein
wo chotay chotay se kaghazooN paR
muhabbatooN kay payaam likhna

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


aaj phiR sataa'ey ghi raat pooRay chaand ki
daR badaR phiRa'ey ghi raat pooRay **chaand *ki
jis taRaf bhi jaa'ooN gha meRay saa'ey ki taRha
meRay saath jaa'ey ghi raat pooRay *
chaand** ki

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


teri chashm-e-khush ki panah mai kisi khwab zar ki rah mai
meray gham ka chaand tehar gya kay tha raat bhar ka thaka huwa
hai ye mukhtasir rah-e-ishq par, nahi ap hum rahay humsafar
to ho kis liye ye mubahisa kaha! kon kasay juda huwa

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

beautiful sheR shabb:blush:
*

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

maiN ne **chaand **auR sitaa'RooN ki tamana ki thei
muj ko raatooN ki seehaa'he k siwaa kuch na mila

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

mera pyaar jal raha hai arey chaand aj chhup ja
kabhi pyaar tha hamey bhi teri chaandni se pehley

ye ajeeb imtehaan hai ki tumhee ko bhuulna hai
miley kab thay iss tarha ham tumhein be-dili se pehley

Faiyaz Hashmi

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Mein nay chaand sitaroon ki tammana ki thee

Mujh ko raat ki sayaahi k siwaa kuch naa mila

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

^ See Post#68. People are posting some wonderful collection which no one should miss.

Ye kon jaaney ke taaroN ke nagar meiN chaand kiuN hey sadyoN sey safar meiN
ye khuley to kesey ke us ney aakhhir kisey kho diya hey jisey dhoondta hey

By: Amal

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

^ Beautiful Aymal how did i miss that :)

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


chaand ke saath kaii dard puraane nikalay
kitanay Gam the jo tere Gam ke bahaane nikalay

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


vo tha chaand shaam-e-visaal kaa kay tha ruup teray jamaal ka
meri rooh se meri aa.nkh tak kisi raushanii main nahaa gaya

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Hota hey :~)

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Eik kahni sabi nay sunai magar chaand kahmosh tha
Uss ki awaz ka muntazir tha nagar chaand kahmosh tha

Woh ju sehta raha rat jagooN ki saza chaand ki chaa mein
Maar gaya jab tu noh KinaN thay shajar chaand kahmosh tha

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

jis gharhi chaand namodaar howa karta tha
kia tujhe aay dil-e-bimaar howa karta tha

loug wese he nahien batien banaya karte
kuch na kuch to pass-e-diwaar howa karta tha

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

kahien chaand rahoon mai khoo gaya kahien chaandni bhi bhatk gayie
mai charaagh wo b bujha howa! meri raaat kaise chamak gayie

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

kal chodwhi ki raat thi

sheb bher raha chercha teira...