Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Unwaan: Chand----------------------------
Saabqa unwaan: Raat, Shaam, Zindghi

PS: Barah-e-meherbani poori ghazal post karney sey ijtinaab kareiN.
*** **Agar aap ke paas deeye gaey unwaan sey mutaaliq kai aashaar heiN to unhey alag, alag post kareiN ta ke infiraadiyat bhi barqaraar rahey aur parrhney meiN bhi lutf aey.

Shukriya

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


chudwee'N ka chaand hai ya taa'RooN ki zia hai
a'ey jaaN-e-taman tu he bata k tu kia hai
masoom se chahRay pe hai kuch aisi nazakat
jesay shabnum ki hatheli pe koi phool khila hia



Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


wo chaand chehry wo behki baateN
sulagty diN they mehakti raateN
wo choty choty sey kaagzoN paR
muhabbatoN kay payaam likhna

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Can I post my whole poem :blush:?

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Naye daur kay naye khwaab haiN, naye mosamoN kay gulaab haiN
yeh muhabbatoN kay charaagh haiN, inhaiN nafratoN ki hawa naa dey
zara dekh **chaand **ki patiyon ney bikhar bikhar kay tamaam shab
teraa naam likha hay rait par, koi leh'r aa kar miTa na dey

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

raat baaqi thi abhi sar-e-baaleeN aa kar
chaand ney mujh sey kaha - "jaag sehar aai hey
jaag is shab jo mey-khaab tera hissa thi
jaam ke lab sey tah-e-jaam utar aai hey"

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

:nono:

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

like I will post :stuck_out_tongue:

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


kaheeN **chaand **ya sitaarey huwey hum-kalaam mujh sey
kaheeN phool seerrheoN ke, kaheeN jhaarriyaaN chattoN ki
mery kaaghzoN meiN shaed kaheeN ab bhi so rahi ho
koi subh gulsitaaN ki, koi shaam parbatoN ki

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

u neber know acha ap ka pasandeeda mozoo’N hai ab post kaRan no flooding :hoonh:

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

*Chaand
*

Aik saY musaafir haiN
Aik saa muqaddar hai
MaiN zameen par tanha!
Aur woh aasmaanooN meiN!

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


tu khayaal hey to merey gumaaN ki baahoN meiN utar
tu khaab hey to kisi roz meri nigaahoN meiN utar
tu falak hey to meri manzil ka pataa dey mujh ko
tu chaand hey to kisi roz meri raahoN meiN utar

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand



shab-e-tanhaai meiN dil ke nehaaN-khaanoN par
guzrey lamhoN ki shabnam si parrney lagti hey
jesey **chaand **kisi ko dhooNdney ke leeye nikalta hey
jesey koi baccha kisi khiloney ke leeye machalta hey

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

gham-e-firaaq ki chaadar ko cheer detey heiN
aur dil ik lamhey ko ho jaata hey shaadaab aesey
jesey
chaand ka aks kisi jheel meiN utar jaata hey
jesey koi sookha peirr sabz pattoN sey bhar jaata hey

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


*koi chaand chehra-kusha huwa
to simat gai
wo jo teergi thi chaahaar su
wo jo barf thehri thi ru-baru
wo jo bedili thi sadaf sadaf
wo jo khaak urrti thi har taraf
*

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Aik Qiyamat ka sann-naaTa, Aik balaa kee taareeki
In galiyouN say door naa Hanstaa Chaand:) naa roshan saaye haiN

Piyaar kee boli, bol naa Jaalib iss basti kay logouN say
Humm nay Sukh kee kaliyaaN kho kar dukh kay kaaNTay paaye haiN

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Taktay rehnaa haye! woh pehrouN talak suu-e-Qamar
**Woh phaTTay baadal maiN, bay aawaaz-e-paa uss kaa safar

poochna reh reh kay uss kay koh-e-sehraa kee khabar
Aur woh hairat darogh-e-maslihat aamaiz par

***Aankh waqf-e-deed thee, Lub maail-e-guftaar thaa
Dil naa thaa meraa, saraapaa zoq-e-istafsaar thaa!
*

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


ye chiraagh-e-jaaN bhi ajeeb hey ke jala huwa hey abhi talak
teri bewafaai ki aaNdhiyaaN to kabhi ki aa ke guzar gaeeN
merey aasmaaN ke haath meiN bas aik*** chaand*** tha aas ka
usey baadloN ney nigal liya to meri kaaeynaat hi ujarr gai

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand


terey intizaar meiN raat bhar hum shamma ke saath roey bhi
chaand ke saath jagey bhi aur, sooraj ke saath dhaley bhi heiN

duwaeiN bhi keeN bohat magar tujhey dhoondney ke waastey
sang chaak gir-e-baaN ke hum khaar khaar chaley bhi heiN

Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand

Uss hee kaY naam say lafzoN maiN chaand utartay thaY
Woh aik shakhs ko dekhooN tau aaNkh bhar aaye
Jo kho chukay haiN unhaiN dhonNdna tau mumkin haY
Jo jaa chukay haiN unhaiN kaun kiss tarhaa laaye...?