Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
Tanha, Udaas Chaand ko samjho naa be khabar
har baat sunn rahaa hai, magar boltaa naheeN
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
Tanha, Udaas Chaand ko samjho naa be khabar
har baat sunn rahaa hai, magar boltaa naheeN
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
Jinn umroN maiN khwaab suhaanaY hotaY haiN
chaand ko taknaY pe kiouN pehray hotaY haiN?
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
Raat phelee hai teraY surma'yee aaNchal kee taraah
Chaand niklaa hai tujhaY dhooNdhnay paagal kee taraah
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
tujh saY milnay kee dua lab paY naa aa jaye kaheeN
Chaand ko dekh kaY youN aaNkh bachaee hum naY
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
Kabhi to kee hogi suraj naY chaand saY mohabbat
Iss liye tau chaand maiN daagh hai
Mumkin hai, kee hogi chaand ne suraj se bewafayee
Tabhi to suraj maiN aag hai
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
kal chowdhweeN kee raat thee shab bhar raha charcha tera
kuch naY kaha kaY chaand hai kuch naY kahaa chehra teraa:D
hum bhee waheeN mojood thaY, hum saY bhee loug poochaa kiye
Hum chup rahai, hum haNs diye, manzoor thaa pardah teraa:D
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
ye ***chaand*** agar kabhi taaroN sey kisi roz larrey to kya ho ga! kisi roz yuNhi zid meiN aa kar na raat dhaley to kya ho ga!tera naam hi aaya tha lab par ke saari khalqat cheekh utthi
tera haath pakar kar sarkoN par terey saath chaley to kya ho ga!![]()
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
ChaaNd kaY saath kayee dard puraanaY niklaY
KitnaY gham thaY jo teraY gham kaY bahaanaY niklaY :(
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
Sar-e-shaam hai, Chaand dhalnaY lagaa
Diyaa teri yaadoN kaa jalnaY lagaa
Thaa YaadoN kaY sehraa maiN tanhaaN rawaaN
MeraY saath yeh kaun chalnaY lagaa
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
khush nikammi jee :)?
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
koi roshni ki rida leeye merey saath rehta hey har gharri
yehi aek dhoka wisaal ka mujhey khalwatoN meiN sada huwa
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
Re: Mehfil-e-UnwaaN- Chaand
Chaand nay raat muhj ko giaga ker kaha
aik larkey thumara pata lay gie