Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

Ka'ee Zamanay Main Apni Karri Shikast Kay baad
Khud Apnay Tottay Hovay Baazo'oon Main Qaid Raha
Woh Aik Chahraa Jo Aankhoon Main Aa Basa Tha kabhi
Tamaam Umer Mayray*** Aanso'oon*** Main Qaid Raha

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

Iss Qadar Mujh Main Siraiyat Hay Tumharaa Ahsaas
Naam Poochay Koi Mayra Tou Tumhara Lay Loon
Yeh Jahan Walay Tarastay Rahain Ashkoo'n Kay Liay
Ho Agar Bas Main Tou Ghum Saray Ka Sara Lay Loon

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

Jinhain saleeqa hai tehzeeb-e-ghum samjhnay ka
Inhi k roonay main aansoo nazer nahi aatay
Khushi ki aankh main aansoo ki bhi jagah rakhna
Buray zamanay kabhi pooch ker nahi aatay

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

Abhi to zid bohot hai rasta badalnay ki

Wo roayy ga bhi bohot meri chahatoon k liyay

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

aa'nsooN ne ghamooN se ghabRa kaR
giR k palkooN se khud-khushi kaR lee

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq


baha baha k ye aa'nsoo bikhaR chuki hooN bohat
simat k zaat maiN apni ab muskuRana chahti hooN

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq


aiy buut taraash ishq ko hayrat maiN daal day
pathar ki aa'nkh se koi aa'nsoo niqal day

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq


kabhi aa'nsoo kabhi khushboo kabhi nagma bun kar
hum se har shaam mili hi tera chahara bun kar

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq


yaadooN k phool sookh na jaa'eiN is leay
aa'nkhooN ko** ashkbaar** kia hia kabhi kabhi
hum se janoon-e-ishq ka aalam na poochaiey
apnaa he intzaar kia hia kabhi kabhi

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

*Ager khush hai wo dekh ke ansu meri ankho mein
to khuda ki kasam hum muskurana hi chod denge
*

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

*"Kehtay hain dil ka bojh hulka hota hai ashk bahanay se
jalan aankhon ki aur barh gayee, jee bhar ke ronay ke baad"
*

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

** **

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

Waaapsi ka koi sawaal nai **
**ghar say niklian gay ansoon ki terha

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

*
ankhein terr hein, terr hee hein
yey aisee mushk (water bag) hein
kabhi khalee hoti nahee.
*

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq


un ko bhoolNay ki hum justaju nahi kaRtey
bus niqal he aa'ety haiN **aan'sooN **ki basti maiN

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq


rait pe beth k bheeghay huwey **ashkooN **se
tum bhi likho gaye meRa naam magaR meray baad

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq


**aa'nsoo **hansi hansi maiN niqal aa'ey key'uN faRaz
bethay bethay konsay ghaam yaad aa'gaye

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq


zindghi stati hai umeR bhaR khalish un ko
doob kaR jo aa'ety haiN aa'nsooN ki basti main

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq


aa'nkhaiN hamari num he rehi
wo tapakta raha aa'nsoon ki taRha

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq


wo **ashk **buN k meRi chashm taR maiN rahta hai
ajeeb shaks hai paNi k ghaR maiN rahta hai