Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

**Unwaan: ** Aansu/Ashq

Saabqa unwaan: Raat, Shaam, Zindghi, Chaand, Gulaab, An’nkhaiN, Mohabbat, Dil, Khushbu, Yaad,

PS: Barah-e-meherbani poori ghazal post karney sey ijtinaab kijeeye.
*** **Agar aap ke paas deeye gaey unwaan sey mutaaliq kai aashaar heiN to unhey alag, alag post kareiN ta ke infiraadiyat bhi barqaraar rahey aur parrhney meiN bhi lutf aey.

Shukriya

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

**
AansuoN ney ghamoN sey ghabra kar
gir ke palkoN sey khudkushi kar li
**

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

**
Unki palkoN pe laraztey huwey aaNsu ki qasam
meiN ney saahil pe machaltey huwey tufaaN deikha
**

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

Ashq chupkay say bhegoo dain gaay tumhara daman
Jaab tumhain mere wafaoo'n kaa khayal aa'ay gaa

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq



Aankhon mein kaun aake ilahi nikal gaya **
**Kis ki talaash mein mere ashk rawaan chale


bEiNg LoN3Ly !!! SiD !!!

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

Ay Chashm-e-tar na ashq baha unke samne
Moti mila ke khak mein be aabroo na ho

BeInG loNeLy !!! Sid !!!

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein, Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain
In Aankhon Mein Jo Kal Tuk Tha, Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

Aahat thi kis khaab ki ya dhoka tha nazar ka
ik pal ko sakoot toot gaya dil ki qabar ka
aaNkhoN ka sehan bheeg gaya yaadoN ki nami sey
kuch bhi to sila nahi mila ashqoN pe jabar ka

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

Yaas ney pehan leeye foran aas ke kaprey
hum juNhi milney usey us ke ghar aaey
hum ney poocha to haNs ke kehney lagi
ashq to aaNkhoN meiN yuNhi bhar aaey

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

nigaah sey chahlka diye aansu safaai detey huwey
go harf shikayat ka meiN zubaaN pe koi laaya bhi nahi
sazaa bas itni di usko ke jab wuh jaaney laga
nazar utthaai bhi nahi meiN ney haath hilaya bhi nahi

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

ye yaqeen tha ke rok leiN ge sabar sey saarey ashq
wuh mila magar tou hum apna hunar dhoohndtey rahey

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

Jahaan us ne mera ziker suna hoga kisi se
Us ki aankhoon mein koi aansoo tu aaya hoga...

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

be’basi barrh ke meri aaNkhoN meiN utar aati hey meri haNsi sey merey *aaNsu* chupaaey nahi jaatey

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

***meRey haal pe haiRat kaisi daRd k tanha mousam maiN*** ***patheR bhi ro paRtey hain, insaaN tu phiR insaaN howa*** ***jin ashkooN ki pheeki lo ko hum bekaaR samajhtey they*** ***un ashkooN sey kitna roshaN ik taReek makaan howa***

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

***us ne chu kaR mujhe pathaR se phiR Insaan kiya*** ***barsoN k baad meRi aankh mein ansoo aa'ey***

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

***apni aankhooN maiN ye aanso haiN ghanimat warna*** ***chand apna na soraj na sitaRey apney*** ***kya khabeR kyu teRi chahat nahi badli waRna*** ***dill tu haR roz badalta hay iradey apney***

Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq


***jise le ga'ee hai abhi havaa vo vaRaq thaa dil ki kitaab kaa
kahiN aa'NsuoN se miTaa huaa kahiN aa'NsuoN se likha huaa


Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq


***udaas aa'NkhoN se aa'Nsuu nahiN nikalate haiN
ye motiyo'N ki taRha seepiyoN meiN palate haiN


Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq


***shabanam ke aa'Nsuu phuul par ye to vahi qissaa huaa
aa'NkheiN meri bheegi hu'eeN chehRaa teRaa utRaa huaa


Re: Mehfil-e-Unwaan — Aansu/Ashq

Aankhon Mein Sirf Aansu Hi Aaye Hain, Kabhi Khushi Nahin,
Zindagi Mein Hamesha Raat Hi Rahi Hai, Koi Savera Nahin
Raaston Mein Hamesha Patthar Hi Aaye Hain, Koi Phool Nahin,
Zindagi Mein Hamesha Dukh Hi Mile Hain, Koi Khushi Nahin......