Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


*
ujaaR ujaaR k guzartii haii tere hijR kii shaam
na poch kese guzartii haii tere hijR kii shaam

ye haadsa shayad tujhe udaas ker de ga
k mere saath hii martii haii tere hijR kii shaam*

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


kabhi din ki dhoop mai jhoom kay kabhi shab kay phool ko choom kay
yohi sath sath chlain sada kabhi khatm apna safar na

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


teray sath itnay bohat say din to palak jhapkatay guzar gaye
huwi sham khail hi khail main, kati raat baat hi baat main

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


zara dkeh chand ki patio nay bikhar bikhar kay tamam shab
tera naam likha hai rait par koi lehar akay mita nay day

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


*
gaye dinon ka suraagh le k, kidher se aaya kidher gaya wo
ajeeb manoos ajnabii tha mujhe tu hairan ker gaya wo

bus aik motii sii chubh dekha k, bus aik meethii sii dhun suna k
sitara-e-shaam bunn k aaya, barang-e-khwaab-e- seheR gaya wo *

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

**
Shaam ki god meiN dam torrtey huwey ujaaloN ki tarha
zindagi lagti hey kaaNch ke tootey huwey piyaaloN ki tarha
meiN khaab ke kitney hi baab na chahatey huwey bhi chorr aaya
kamra-e-imtehaan meiN na aatey huwey sawaaloN ki tarha
**
By: Amal

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Sooraj shaam ki hadoN sey gar nikal jaey
terey baghair bhi mumkin hey dil behal jaey
abhi abhi to utthey heiN terey merey qadam
kisi ke dil meiN hey to abhi sey raah badal jaey

By: Amal

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

**
YuN raat ki tanhaaiyoN sey sehma huwa tha dil
ke hum shaam sey hi aasaar-e-sehar dhoondtey rahey
toofaan urra ke ley gaya tha musaafat ke hosley
parindey magar tootey huwey par dhoondtey rahey
**
By: Amal

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

**
Kabhi ye aaNkheiN udaas ho kar bheeg jaaeiN to laot aana
zard december ki sard shaameiN agar sataaeiN to laot aana
hum isi jaga par roz aa kar tumhaara rasta takaa kareiN gey
tumhey naey shehar ki nai hawaeiN raas na aaeiN to laot aana
**
By: Amal

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

^ ye poori ghazal mil sakti haii?

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Buhat khoob Amal:) :k:

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

KyuN aik hi markaz pe heiN tthehrey huwey taarey
kyaa Shaam ke pehlu meiN sehar aaj nahi aai

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Hawaa-e-Shaam k jhonko zaraa lehaaz karo
na lo Chiraagh jaltey hii imtehaan meraa

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Ghum-e-hayaat ney awaara kar diyaa warna
thii arzoo k terey dar pe subh-o-Shaam kareiN

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Ruk gaii theeN yuN zameen-o-aasmaaN ki gardisheiN
niim shab par Shaam hi ka thaa gumaaN kal raat ko

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

:frowning: dekha bhai qeema nikal diya mera :teary3:

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


ek sham kay saye talay bethay rahay woh dair tak
ankhoo'n say batain ki bohat monh say kaha kuch bhi nahi

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


shamhotay hi chiragoo'n ko bhuja daita ho
ye dil hi kafi hai teri yaad mai jalnay kaliye

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

:blush:

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


samandar kay safar mai is tarha awaz day hum ko
hwa'ain taiz ho'n aur kashtioo'n mai sham hojaye