Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


samandaR k safaR maiN is taRha awaaz day hum ko
hawaa'eiN taiz hooN auR kashti'ooN maiN shaam ho jaa'ey
mujhay maalooM hai is ka thi'kaaNa phiR kahaN ho ghaa
pRinda aasmaa'N choonay maiN jab nakaam ho jaa'ey

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

ujaa'laY apNi yaadooN k hamaRay saath rahnay doo
na'janaY kis gali maiN zindghi ki* shaam** ho jaa'ey *

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


kabhi safaR tu kabhi shaam lay gay'aa muj se
tumhaRa daRd kaa'ee kaam lay gay'aa muj se
mujhaY khabar na hu'ee aur zamana ja'tey hu'way
nazaR bacha k teRa naam lay gay'aa muj se

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


shaam ka jaa'doo tha ya shidat tumhaRi yaad ka
**waqat kia muj ko tu dary'aa bhi laga thehRa huwa **

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


udaas pairoN k dil pe hai baa'R hijR ki shaam<!-- google_ad_section_end --> *
*kisi ko toar kisi ko ukhaa'R hijaR ki shaam

meRi nig'haa pe tu ne bitha dee'ya rasta
na'heef seenay pe rakh de pahaR hijaR ki shaam

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


mil k ik shahaR bhigoo daitey haiN tanhaa'ee ka
aik maiN aik meRa deeda-e-taR shaam k baad
ghay'eR laitey haiN mujhay rastey teRi yaadooN k
jab bhi kaRta hooN teRay baad safar shaam k baad

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

mai sham kay badh ati to kuch bhi nahi hona tha mery post karnay ko:p

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

...and how can we forget this one
yuhi besabab na phira karo koi sham ghar bhi raha karo
woh ghazal ki sachi kitaat hai usay chupkay chupkay parha koi

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

kabhi dekha hey Shaam dhaley
barrhtey saayaoN k sung
doobtey suraj k ghum meiN
dil kaesey machalta hey

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

TumheiN jab kabhi milein fursatein merey dil sey bojh utaar do
meiN buhat dinon sey udaas hoon mujhey koii Shaam udhaar do

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Na gharaz na kisi sey waasta,mujhey kaam apney kaam sey
terey zikr sey teri fikr sey, terii yaad sey terey naam sey
terii subh-o-ash hey kya bala,tujhey aey falak jo ho hosla
kabhi kar ley aa ke muqabala,ghum-e-hijr-e-yaar ki Shaam sey

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Khushboo sey bhari Shaam mein jugnoo ke qalam sey
ik Nazm terey waastey likheiN ge kisi din

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Shaam hoti hey tou chupkey sey chalii aati heiN
Apnii yaadoN sey kaho! aesey sataaya na kareiN

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Udaas **ShaameiN **Ujaar rastey kabhi bulaain tou lout anaa
kisi ki aankhon mein rat-jagon k azaab aaein tou lout anaa
mein roz yoonhi hawa mein likh likh kar usski jaanib ye bhejta hoon
k achey mosam ager pahaaroN pe muskaraaeiN tou lout anaa

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


*aye **shaam **mujhe tum kuch na kaho is baar mera dil toota haii
ya jee na sako`n wo baat kaho, is baar mera dil toota haii *

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

*
kabhii aansokabhii khushbo, kabhii naghma bun ker
hum se har shaam mili haii tera chehra bun ker

*

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

*
merii jaagii hoii raatoN ko ussii kii haii talaash
sou raha haii merii ankho
mien jo sapna bun ker

raat bhii aye tu bhujtii nahii chehre kii chamak
rooh mien phail gaya haii wo ujala bun ker
*

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

ahh one of my fav me kesay bhol ga'ee ye thanks Pakeeza:)

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

** Oh My God** :slight_smile:

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

kiyun tunha phirtoo ho surdiyuun ki udaas shaamoan mein
iss tarha tau hota hay phir iss tarha ki kaamoan main :cb: