Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Unwaan: Shaam

Saabqa unwaan: Raat

PS: Barah-e-meherbani poori ghazal post karney sey ijtinaab kareiN.
*** **Agar aap ke paas deeye gaey unwaan sey mutaaliq kai aashaar heiN to unhey alag, alag post kareiN ta ke infiraadiyat bhi barqaraar rahey aur parrhney meiN bhi lutf aey.

Shukriya
Amal

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

****AaheiN bharti hey shab-e-hijar yateemoN ki tarha
sard ho jaati hey har roz hawaa shaam ke baad
koi bhoola huwa gham hey jo musalsal mujh ko
dil ke paataal sey deta hey sadaa shaam ke baad


Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

**
Raat beeti to giney aabley aur phir socha
kon tha baais-e-aaghaaz-e-safar shaam ke baad

**

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

**
Hui hey shaam to aankhOn meiN bas gaya phir tu
kahaaN gaya hey merey shehar ke musaafir tu!
meiN jaanta hooN ke dunya tujhey badal de gi
meiN maanta hooN ke aesa nahi ba'zaahir tu
**

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

**
Kya jaanye wo dil sey utar kiuN nahi jaata!
gar shaam ka bhoola hey to ghar kiuN nahi jaata!
sadyoN sey tujhey takta huwa soch raha hooN
ji terey khad-o-khaal sey bhar kiuN nahi jaata!
**

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Tu hai sooraj tujheY ma'aloom kahaaN raat kaa dukh
Tu kisi roz meraY ghar maiN utar shaam ke baad

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


Huli'ya badal ke rakh dia jaiseay shab-e-firaaq nay
Aankhain bhi wo nahin rahein chehray bhi wo nahi rahay...

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

shaam hai aur usaadi hai bohet
derd ko waqt shanasi hai bohet

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


tuune dekha'a hai kabhii ek nazar shaam ke baad
kitanay chup-chaap se lagatain hai.n shajar shaam kay baadh

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


main ne aisee hii gunaah terii juda'ye mai kiye
jaisay tuufaa'n mein ko_ii chhor day ghar shaam ke baadh

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


main tamaa'm din kaa thakaa huaa tuu tamaam shab ka jagaa hua
zaraa Thahar jaa isi mour par tere saath shaam guzaar lu'N

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


ujaale apanii yaadon kay hamaray saath rahanay do
na jaane kis galii main zindagii kii shaam ho jaaye

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam


kabhii din ki dhuup main jhuum ke kabhi shab ke phuul ko chuum kay
yuuNhi saath saath chalen sadaa kabhii Khatm apanaa safar na ho

bus ab :D

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

beetay dinoon ki yadein hum se milnay aati hain
shaam dhalaay dil k sonay aangun main mela lagta hay

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

taaroon se sajaa dain gaay rah e shaher e tamanaa
maqdoor nahi subho chalo shaam hee aa aey

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

phele raat thi ab shaam ho gaiee yeh kia bat howi

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Dehleez-e-sama'at pe kisi waaday ki aahat
utrey ke na utrey
Aey Ranj bharii Shaam
dukhtey huwey dil par
koi Aahista sey Aa kar
ik Harf-e-TassaLi tou rakhay phool ki maanind...!

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

Farhat Abbas Shah sahab sey nehaet muaazrat ke saath, unki 'zameen' ka aek ghustakhaana istimaal hamaari taraf sey bhi:

**
Har gharri rehti hey gulshan meiN ik veeraani si
mehakney lagta hey yaadoN ka chaman shaam ke baad
yuN to so zakhm hum seeney meiN leeye phirtey heiN
jaaney kis ghaao meiN hoti hey chubhan shaam ke baad
**
By: Amal

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

:sheen: :kursi: :smash: :bailan: saray me k sher chura leay meray se pahlay..aur me aiey dair se shaam k baad :teary1:
*

Re: Mehfil-e-Unwaan — Shaam

diN tu yuuN ghuzeRta hai jaisay ko'ee dukh nahiN mujh ko
sham hotay hotay jaanay kyuN bikheR jaa'tee hoon maiN<!-- google_ad_section_end -->