Mehfil-e-Sukhanwaraan-e-Gupshup

Hur saa'at hur pal tera hee khiyaal rehta hai
Kaisa hoga tu yehi dil maiN sawaal rehta hai

Teri hee yaad aati hai hamesha is dil maiN
Jab bhi yeh dil ghamo say nidhaal rehta hai

Kabhi jo yaad ko teri haqeeqat ka roop diya
Bas yehi soch ker dil apna nehaal rehta hai

Wabasta tujh say hee hai meri hur tamanna
Bandagi maiN teri mera baal baal rehta hai

^^

Bohat umdha:)

Bohat acha likhtay ap jaab bhi likhtay:)

I wish hum ko bhi itna acha likhna ata..

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Hur saa'at hur pal tera hee khiyaal rehta hai
Kaisa hoga tu yehi dil maiN sawaal rehta hai

Teri hee yaad aati hai hamesha is dil maiN
Jab bhi yeh dil ghamo say nidhaal rehta hai

Kabhi jo yaad ko teri haqeeqat ka roop diya
Bas yehi soch ker dil apna nehaal rehta hai

Wabasta tujh say hee hai meri hur tamanna
Bandagi maiN teri mera baal baal rehta hai
[/QUOTE]
:)

Re: Mehfil-e-Sukhanwaraan-e-Gupshup

Oh ... a frogotten thread :(

missed those days :)

Re: Mehfil-e-Sukhanwaraan-e-Gupshup

This is the old one... and by reading it now, I would want to make some changes in it... If I were to write it again, I will probably say this theme as this:

**maiN Ajnabi musaafir Shub-e-tanhaai kaa
UjaalouN maiN Din kay kuch yooN kho gayaa

Jo huaa deewaana phool kee khusbhu ka maiN**
**KhizaaN kaY zard paTToN kee maaniNd uRR gayaa

phir woh haseeN phool shaam dhalaY
kissi aur kay sar kee zeenat ho gayaa **:-)

Re: Mehfil-e-Sukhanwaraan-e-Gupshup

:hehe:
hmm I can’t think of anything :teary3:

Re: Mehfil-e-Sukhanwaraan-e-Gupshup

^
Chaaho tau hazaar fasaanaY sunaa daalo
Socho tau baY shumaar ghum nibhaa daalo
Khaamosh dareechoN saY jo jhaaNk kar dekho
Raaz zamaanoN kaY tum dikhaa daalo :~)

(AQ)