Lamhay
1
tum ne maaraa hai mujhe mera sahaara ban ke
zehar tum dete rahe mujh ko maseehaa ban ke
mar ke bhi main teri ankhoon se na ojhal hongi
jhilmilaauungi falak par main sitaaraa ban ke
rah ravaan shauq ke paa lete hain manzil aakhir
mushkilen laakh milen raah mein kaanta ban ke
bhool saktaa hai bhalaa kaun vatan ko apne
boond ik roz palat aati hai barkhaa ban ke
log achchhey ko bhi kahtey hain buraa duniyaa mein
Lamhay! tu hi bataa, kyaa karoon achchhaa ban ke
bannaa chaahaa to bahut kuch thaa magar kuch na bana
reh gaye ishq mein tere main tamaasha ban ke
zulmat-e-yaas musallat hai meri duniya par
kaash ubhre koi umeed sawera ban ke
ashk aankhon mein hain jab tak to salaamat hai jahaan
jaane kyaa hoga jo niklenge ye dariya ban ke
apne kaashaane mein :Lamhay: ne Khudaa Dhoondh liyaa
tum use paa na sake saakin-e-kaabaa ban ke !
Nice :k:
I think its your own!
wwoowww very nice lamhay sis :k: last shair to boht accha hai 
keeep it up siso 
Koi naheen, pehlay wala acha hai 
Azad
5
Aray bhai larrnay ki kia baat hay … Lamhay shuro say akher tak achi hi achi hay 
Thanks for sharing lamhay :k: :k:
Oh, mujhe Lamhay ke baare mein itna pata naheen hai na :halo:
Paglee
7
nice one lamhay sis thanks 4 sharin..:)
Naheeeeen…pehla wala hee acha hai 
nikii
12
Re: mar ke bhi main teri ankhoon se na ojhal hongi!
wowww bhut khoob :k:
keep it up 
Lamhay
16
thanks azad ur so sweet !!
Lamhay
17
capricorn tum ko tu kuch bhi nahin pata 
Lamhay
18
[QUOTE]
*Originally posted by Paglee: *
nice one lamhay sis thanks 4 sharin..:)
[/QUOTE]
thanks paglee !!
Lamhay
20
Bahut shukria Dilsay ji , nikki and Heart hacker!!