manzar kashi

is waqt app jahan bhi jis halat main bethay hain us ki manzar kashi kerain

**marks >100
**
*andaz-e-tehreer > 75

alfaz ka aam feham hona > 10

ikhtisaar >15*

Re: manzar kashi

Bijli ko gae huwe 52 minute ho chuke hain.. bus 8 minute main aane hi wali hogi.... kamre main andhera hai aur sirf laptop ki roshni hai... balcony se traffic ka shor sunai de raha hai. PaRos main kisi ne biryani banai hai.. uski khushboo saare main pheli hui hai... uff ye machhar... maut kiyun nahin aati inhe.. KMC wale kabhi apna kaam sahi nahi karte. zara se khiRki kholo to ye machchar aise nazil hote hain jaise qarz khwah qarza mangne aa jate hain.

Re: manzar kashi

yeh mere bas kii baat nahiiN…agar aisaa kiyaa maiN ne to maiN KKF nahiiN rahuuNgaa :cb:

'aam fehm zabaan to manzar kushii [like Khud kushii] hogii :smiley:

Re: manzar kashi

aap school main talkhees aur Precis ke classes bunk karte the shayad

Re: manzar kashi


maiN to classes saare hii bunk kiyaa kartaa thaa...meraa kahnaa thaa k:

paRhoge likhoge to hoge Kharaab
kheloge, koodoge to banoge nawaab! :)

Re: manzar kashi

lolzzz...bohat acha likha

90 out of 100

10 number is ley katay kay manzar kashi main app nay apnay interior ko zikker nahi kia : P

Re: manzar kashi

Andhere main konsa interior bayan karta.. laptop ki roshni ka likha to hai

Re: manzar kashi

^ lap top ki roshnee main chor chore ker jatay hain app ko interior nazar nahi aaraha hay .kamal hai hoonh

Re: manzar kashi

:emmy: boht andhera tha

Re: manzar kashi

charaaGh dil kaa jalaao
bahot andheraa hai?

Re: manzar kashi

Abhi ami ke awaz nay mujhay chonka diya, "Raat ka waqt hai Ganay ki awaz halki karo beta tumharay abba ji ki shadi nahi" awaz halki kar kay ab betha hon mujasma ban kay laptop ke agay logo kay threads mein apna sir ghusa raha hon, aik hath mein cigarette hai, pata nahi mein pe raha hon usay, ya wo mujhay kha raha hai. Tv chal raha hai, lekin awaz band hai, ye itni raat ko blender chalnay ki awaz? ufff Allah kamar mein dard..

Re: manzar kashi

lols at abba ki shadi :hehe:

Re: manzar kashi

hahahah bohat aaala

95 out of 100

Re: manzar kashi

aap apne haan ke manzr ke baare main bhi to bataiye

Re: manzar kashi

:hat:

Re: manzar kashi

mera mood abhi bohat kharab hay ..cant do it : (

Re: manzar kashi

aise mood main to takhleeqi adab wajood main aata hai :D

Re: manzar kashi

biscuits, injeer ka dabba, tomato katchup, baadam, headphones, mouse, saonf, pen, 4 remote controls, 3 kitabain, tissues, pani ki botal, sabz chaye ka cup, aur aik khali cup, bohot say restaurents kay menu, first aid plast, bijli kay bill, chaye walay paapay, aur kuch dawain, sab kuch darmyani maiz par dhara hay, laptop kay charoon taraf...
aik sofay par dhulay huway kapray paray hain doosray par main.
tv ki table kay neechay bhi kuch kitabain hain, aur unkay ooper matti, us say ooper tv off hay, aur us say mazeed ooper deewar par koi keera ghoom rha hay
aik konay main purani akhbaroon ka dhair hay aur doosray konay main kachray ki tokri
aur mukammmmal khamoshi hay, shaid qabar jesi

Re: manzar kashi

Main aur meri Tanhai.. Coming Soon on Arts Channel :hehe:

Re: manzar kashi

^^ : D uskay sath background main koi poori nazm parh rha hoga.... Khirki, Chand, Kitab Aur main, Muddat Se ik Baab Aur main