biscuits, injeer ka dabba, tomato katchup, baadam, headphones, mouse, saonf, pen, 4 remote controls, 3 kitabain, tissues, pani ki botal, sabz chaye ka cup, aur aik khali cup, bohot say restaurents kay menu, first aid plast, bijli kay bill, chaye walay paapay, aur kuch dawain, sab kuch darmyani maiz par dhara hay, laptop kay charoon taraf...
aik sofay par dhulay huway kapray paray hain doosray par main.
tv ki table kay neechay bhi kuch kitabain hain, aur unkay ooper matti, us say ooper tv off hay, aur us say mazeed ooper deewar par koi keera ghoom rha hay
aik konay main purani akhbaroon ka dhair hay aur doosray konay main kachray ki tokri
aur mukammmmal khamoshi hay, shaid qabar jesi
lolzzzz yeh itna ujraa hoa manzar smack
ab kisi nay dakka bhi dalna hoa to plan khatam ker day ga : P
Sitting on a sofa,balcony se bahar park ka manzar saf nazar aa raha hai,sham aahiste aahiste rat Mai dhaln wali hai, barish kE bad aasman bilkul saff ho Gaya hai,aik purana tree ( jispe hamesha muje lagta hai ke jinaat ka basera hai ) uski tehniyan zor zor se hil rahi hain,grass bhari howi hai,2 Pyare gol Matol neeli aankho wale bache khail rahey hain,unki maa door Bethee phone pe bat kiye Howe eye roll kiye ja rahi hai,usne white pant and yellow shirt pehni hai,peach color ka lip gloss lagaya howa hai,barish ke katre abii tak phoolo pe pare Howe kisi haseen ankho Ki Palko pe pare Howe aansoo ka mazar de rahey hain.
Jab tak Maine yeh Likha raat mazeed gehri howi,us orat ne bacho ka hath pakra aur Jane lagi hai,ab khali park mera mooh chira raha hai,
Mere samne half Water bottle Pari howi hai, pani peeney ke nam se hi bukhar char jata hai,mere samne dressing table hair brush deodorant and picture Fram para howa hao,
Mere right side bed hai jis pe brown comforter rakha howa hai,mere left side closet hai jo abhi band hai warna uski bhi manzar kashi karti,
Sham mazeed gehri hwoi,room Mai bhi andhera ho Gaya hai,mere hath Mai iPad hai,us Mai hend free Laga howa hai.
Bahar achanak taiz hawa chali hai,uska chor hai,
Acha Baki bad Mai
Abhi room Ki light on karni hai,phir chai banani hai.Oh and
Half Water bottle bhi finish karni hai
raat ka derh baj raha hai, main desktop kay samany bheta howa hon. seedhay hath par kuch kitabain khuli hoey hian, keyboard aur monitor kay darmiyan kuch bills paray hoye hian, jabky seedhay hath par mouse kay qareeb headphone hia. meray aqab main book shelve aur khrki hai. computer ki meez kay seehday hath par printer rakha howa hia. jabkay kamaray ka darwaza khula howa hai. aur kamray main light saver ki roshini jabkay kamray kay bahar andheera chaya howa hai. kamray main AC ki thandi howa hai, jo kay waqtan fawatan chalti hai.