mahool
January 9, 2014, 5:19am
24
Re: Manzar Kashi Competition - 1
My submission (word count: 161):
Toota Hua Engine
Baba kaha karte thay, insaan ki pehchaan uske kirdaar ki mazbooti se hoti hai. Dhoop ho ya chaon, himmat-e-mardaan aur madad-e-Khuda. Sachi lagan, un-thak mehnat aur Farhad ke jaisa hausla ho tu hum chattaanoN ko bhi qadmoN main gira sakte hain. Subah se shaam tak nit-nayi gaariyon pe auzaar kastay kastay, teelay sa yeh jism bazaahir faulaad ban gaya hai. Lekin mann hi mann, ik tees chubhti rehti hai. Shor-o-sharaabay ke mahool main, mere andar chupa sannaata aankhon se bayaan hota hai. Baba ki tarah, duniya ne bhi meri taraf se rukh mor liya hai, jaise koi puraani khataara ko kaarigar ke haathon bech deta hai. Tail se rangay pairoN ki siyaahi ab maa nazar-andaaz kar deti hai. Baba kehte thay, jiska koi nahi hota, uska Khuda hota hai. Phir main khud ko tootay engine sa kyun mehsoos karta hon? Baba jo kehte thay, sach hi tu kehte thay. Phir main khud ko zameen main dhansa hua kyon paata hon?
bhai wha kiya khoob tehreer hai appki… nazam main to pehly hi midan mar liya tha… aur nasar main bhi fatohat kay jhandy garnay shru kar diye hian… meri tareef appky liye to bas yeh samjhiye kay soraj ko charag dikhana… :sid: