Man is a...

Man is a bubble of water
What is the guarantee of Life :hmmm:

Aadmi bulbulaa hay paani ka
Kya bharoosa hay zindagani ka :frowning:

I am in a depressing mood today

:chai:

Re: Man is a...

True

Qulzum-e-Hasti saY ubhraa hai tu 'Maanind-e-Hubaab'
Iss ziyaaN khaanaY maiN teraa ImtehaaN hai Zindagi

Re: Man is a...

pani ka bulbula
a ha ha paani ka bulbula

Re: Man is a…

Who so ever said that was simply a Moron, comparing life to a bubble in the water of time!
***Cheer up Uncle Bubble you got a long ways to go…:smiley: ***

Re: Man is a…

SaieN Sind Sagar
Bhalli karay ayaa :bb:
Ada subb theek ahay ?
Daay haal ehwaaL

:chai:

Re: Man is a…

kiu uncle jee aunti sai fight tou nahi hoo gahi:faizy:

Re: Man is a…

uncle maar khaa kar aaye hai :smiley:

Re: Man is a…

oye badtameezooo :grumpy:
mujhay tumharay jasoosooN ka bandobast karna paRay ga :smilestar:

:chai:

Re: Man is a…

:mocking:

Re: Man is a…

Tum ko dekhaa tau khiyaaL aayaa
Cafe` ik Zoo, nayaa bander aayaa

Re: Man is a…

Aray logo… issay yahan tou thora sukoon lay lainay do… aisay taabar-toorr hamlay to na karoo na ghareeb par… :frowning:

Taa’oo Cheer up…

:desimunda:

Re: Man is a…

yar cha’cha aaj buhat baRaa HAND ho gaya hay mairay saath :frowning:

:chai:

Re: Man is a…

yar aisay shaair na paRhoo
Bandar burraa maan jaieN gay

:chai:

Re: Man is a…

aray, bheNs kee aaNkh!!

kiyaa huaa unkil???

Re: Man is a…

yar baithay bithaaieY muflisee main Ataa geela ho gaya hay :crying:

:chai:

Re: Man is a…

jo kehta hai, khud hi hota hai :barbie:
:naraz:

Re: Man is a…

kiyaa jootiyoN maiN daaL baaNTee gayee hai aap kee :phati:

Re: Man is a…

Agar tum bandar nahi ho tu tumhain aag kyon lag rahi hay :faizy:

:chai:

Re: Man is a…

Muffler main crack nikal ayaa :grumpy:
sirf $1387.99 ka kharchaa + GST + PST :frowning:

:chai:

Re: Man is a…

naa jaanaY Muffler kiss cheez kaa naam hai aur crack kiss shaY kaa naam rakhaa hai aap naY :naraz: Car kaY muffler kee baat tau naheeN kar rahai :s

meraa muffler tau kapRay kaa hai aur woh phaTaa huaa bhee naheeN hai .. sardiyoN maiN gallaY maiN daalnaY kaY kaam aataa hai :phati: