Whats the deal with all these male models who look like luchay lafangay ya phir galee kay bad’maash? Look at all the pictures and they all seem to be picked up from nukkar where they were doing pairadaree for a local dada. Why can’t they be clean shaven with a nice seedhi si ma’ang with bad’aam ka tail. A til and soorma won’t hurt either!!
*lo... rugged look to pehlay bhi tha.. lekin badmasho wala nahee tha... kaisa waqt a giya hai. Eik say baRh kay eik lafanga nikalta hai model ki dunya mein aj kaal...
Ab in "rugged" logon ko dhekho.. kitnay shareef gharanay kay lafangay lagtay hain... ma'ain balaa'in laitee ho gee or larkion martee hon gee...
daikhaiN ghalib chacha, I have no idea which luchay lafangays you are referring to; so ab agar mai anjaanay aur nadaani mai unn lucchay lafangoN ki tasveerain daikhti rahi to sara qusoor aap kay sir ho ga. aagay aap ki marzi.
daikho bhateeji, agar in lucho lafangon ki tasveerain dheknay ka itna shauq hai to mujhay pehlay unki tasveerain email karo (less the 50K in size please). Mein case by case bases pay appna faisla karon ga.
Or waisay bhi, is tarha lucho lafango ko dhaikh kar apna waqt barbaad karna achi larkion ko zaib nahee daita...
Ghalib chacha, Khof-e-Khuda hay keh nahi aap mai? Mujhe aur luchay lafango ko daikhnay ka shoq? toba toba. Mai yehi to guzaarish karna chah rahi hoon keh agar aap nay luchay lafangoN ki tasveeraiN na post keen, to hamay patta kaisay chalay ga keh kin tasveeron ko matt daikhain? Not like I go around looking for guys photos, laikin agar koi saamnay aa hi jaey to aap ki visual naseehat ki badolat, mai apni aankhain band kar loon gi.
dhaikho bhateejee, albatta mein tumhay itna ma’soom to nahee samajhta lekin agar ab itna israr kiya hai to following jagah mein yeh tasveerain dastiaab hai. mulahiza farmaiyee:
In adition, larkay in Abrar videos (except for the guy with the ring and suit and the one in sherwani in 'Preeto"), larkay in “uchiyaa majaja walee” video. Aur bhi hain lekin filhaal yeh iqzample kay liye ka’afee hain..
Aur haan, agar koi yeh champoo samnay aie to aankhain band nahee sirf neechii karna. Mujhay aankhein band karna uss say takranay ka bahana lagta hai yeh...
oh ghalib chacha, ham aap kay teh-e-dil say shukar-guzaar hain. yeh visual naseehatain main nay desktop par mehfooz kar li hain, I’ll make sure I look through them at least once a day so I don’t forget which ones to be wary of.
Aankhain to main neechi kar loon gi, laikin agar phir bhi takra gaee to ilzaam matt dijiyay ga.
I agree these morons need to learn a lot from their forefathers. Just because of these models its so hard to find a well mannered and decent guy these days.
ghalab ji, app k zamanay k log to abb hum larkiyan dekhnay say rahay.. bachay kuchay yahee reh gayay ajjkal k zamanay mein.. to inhee say guzara karna paray ga bhei.