Male Models ya Galee Kay Badma'ash

BBG, ap thoray aur tukkay laga lain about my complexion, my hair line, my muscles and others features...

aur yeh hamara zamana tumhara zamanay ki kiya rutt laga rakhee hai kuch logon nay?! hain?!? Array bhai, zamana a'ata ja'ata rehta hai lekin sharafati tasveerain khinchwana to kaanstant rehta hai..hain?!? In badma'asho say kaho key zara shave karain, aur khuda kay liye balon mein kangee karain. Iss kay illawa, eik doosray ko ghoorna band karay. Kabhi kabhi shaakk hota hai key yeh darmiannay darjay kay musaffir to nahee.

ghalib chacha, aap kiya jaanain bikhri zulfon ki dilkashi kitni dil-fareb hoti hay. jaisay abhi banda so kar utha ho, aur do din say shave na ki ho. :blush:

laikin astaghfirullah, waqai in larrkon mai zarra tameez-o-tehzeeb nahi hay. mai yeh arz karna chah rahi hoon, keh aap ko yeh itna hi nagavaar guzarta hay to aap yun ghor ghor say innhay matt daikha karain. :halo: mujhe to yeh hairani hay keh aap ko yeh tak patta hay keh kon kis music video mai hay aur kon kis may nahi. iss dilchaspi ki koi to waja ho gi. :nono4:

Mujhay patah tha kay yeh larki zaroor iss sawal ko uthanay ki gustakhee karay gee. dhekho bhateejee, jab hum nay PTV kay liye sign up kiya tha, to ofcourse woh deeni ta'aleem or apni zabaan say ta'aluq barkarar rakhnay kay liye kiya tha. Hamay yeh qataee ilm nahee tha kay jab hum teelawat-e-quran-e-pak qari ki awaz mein sunntay huay jhoom rahain hon gay to badbakht abrar ka gana a'achanak beech mein tapak paRay ga.

jab bhi hum deeni prooogram daikhnay baithtay hain, beech beech mein PTV walay eik a'adh gana ghussa daitay hain. Yeh kiya behoodgee or bai'adbee hai!! Buss, ga'nay kay khatam hunay ka intezaar kartay hein, tasbeeh haath mein liye, kay kab wapis deeni program or koi cultural program wapis jaha katta tha, wapis choro hon ga.

[QUOTE]
*Originally posted by ghalib: *
*lo... rugged look to pehlay bhi tha.. lekin badmasho wala nahee tha... kaisa waqt a giya hai. Eik say baRh kay eik lafanga nikalta hai model ki dunya mein aj kaal...

[/QUOTE]

Aap ka bhi kuch qusoor nahin ghalib unkil....apne apne zamane aur un ke fashions sabhi ko ache lagte hain.... ;)

Buzurgvar, Tilawat ka to bahana thehra, mujhe maloom hay keh aap ghaRiyaan gin gin kar ‘your choice’ or ‘sur street’ ka intezaar farmaatay hain taakeh inn luchay lafangoN ki challangay lagati aur bikhray baalon wali videos daikh sakain. tsk tsk. :nono:

Ham to apnay barron kay naqsh-e-qadam par chalnay waalay suljhay huway bachay hain, aap ki daikha daikhi hamay bhi yeh latt parr gaee to acha nahi ho ga. :frowning:

Han to bhateejee, zara yeh to batao kay kiya tumhay ga'ib ka ilm hai? Kiya tum najoomee ho ya phir jadoo toNa aa'ta hai. Ya'anee kay mujh pay yeh ilzaam kay mein "...gin gin kar 'your choice' or 'sur street' ka intezaar farmaatay hain taakeh inn luchay lafangoN ki challangay lagati aur bikhray baalon wali videos daikh sakain..." qat'aee durast nahee. Hawa mein ilzaam aur tukkay lagana achay bacho ko qataii zaib nahee daita.

Aur rahee baat "Your Choice" or "Sur Street" ki, to yeh do shows hamay ineha say zada napasand hain. Yeh dono hum nahee daikhtay aur iss ki wajah yeh hai kay:

Sur Street mein jo aunty hain, unki awaz to iss qadar wahiaat hai kay eik minute sunnay ka ba'ad kaan band ho jatay hai (she has that "nagging effect" voice). Or Your Choice walee aunty to abhi tak faisla hee nahee kar sakee kay woh bachee hain kay aunty. Ya'anee kay, har dafah kissi nai "stuffed animal" ko apnay kandhay pay la'adh kar saula saal ki bachee ban kar chariyon jaisee harkattay karnay lagtee hain. Aur nahee to aur, "Missfit" mein bhi inteha say zaida champoo lagtee hain.

mai ghalti par thi buzurgvar, aap to "Misfit" jaisay programs tak daikhtay hain!!

Khuda aap ki haalat-e-zaar par reham farmaaey.