malala k malal main doobay log !

hum na malala kay malal main doobay pagal hain k her airay ghairay ko golioon say bhoon dain

na talibaan kay ishq main pagal hain k un ki ghalation k taaj apnay sir per saajain

who we r?

hum woh hain jin ki ghalatee yeh k sir per amamay hain or haaton main ahadees ki kitaabain ..

humain MAlala kay malaal main sirf is ley bhoona jata hay k hum madrasa say taluq rakhtay hain ..

anti taliban ko hum taliban lagtay hain..k hum molvi tabqa hain

taliban ko hum anti taliban lagtay hain ,k hum hakoomat main kion agaye ..

khi ki ik aysee shar pasand jammat jo kissi issue per bollay to waheen say samjh aa jata hay k woh issue kitna sucha tha

woh kabhi jamia hafsa per na bolay
woh kabhi docter aafia per na bolay

malala ka naara laga kar bay gunaah madrsay kay talib-e-ilmoon k maarnay per na bolay

sharam to bus un ko hee aate hay jo malala k malal main doob ker duaain kertay hain k in k bhi apnay marain to in ko pata chalay

hamaray bohat apnay pichlay ik haftay say shaheed ho rahay hain .. app logoo ki duaaon say

lakin hum per na media bolay ga

na koi akhabar likhay ga

na GUPSHUP k malala k malal main doobee aankhoon k yeh khoon nazar ayee ga

haan bhy MOLVI mara hay to us ko merna hee chaeye ..

molivioon say nafrat kernay walay plz ajj yeh ayhad utha lain us leader ki terah jis nay kaha ka na yeh un k peechay jummay perhain gay na namzain na un say janaza prhwaaian na nikaah !

so plz apnay us leader kay hath mazboot kerain …us kay sath mil ker nara lagain ..k malala k badlay saray molvi maray jain gay

Re: malala k malal main doobay log !

:salute:

Re: malala k malal main doobay log !

yeh thread sirf un k ley hay

jo na malala thay k kufaar samiat pore dunia un k ley taraptee

na taaliban thay k un kay mernay per koi qasass laitA

yeh woh masoom talib-e-ilm thay ..jo ilm-e-nabooat perhtay thay ..masjidoon main azaanain daytay thay

or in ko in k MOLVI honay ki saza main roz mara jaa raha hay ....:

Re: malala k malal main doobay log !

Krna kiya hai yeh to bta day :sunnyboy:

Re: malala k malal main doobay log !

jo molvi hamain shia ya sunni honay ya music sun-nay pe maartay hain, un key baray main kya hukum hai?

Re: malala k malal main doobay log !

I dont know whats being discussed in this thread…:hoonh:

Re: malala k malal main doobay log !

:confused:

Re: malala k malal main doobay log !

op was saying that there are many also who kill daily but no one raises voices for them. specially, when a religious leader/perosn/aalim killed, no one feel sorrow.

and we people categorize them as taleban, however they dont have any association, and in the eyes of taliban those people are also anti taleban. so basically, op was saying that most peaceful religious people killed and no one care about them. generally, they fall under taleban category because of their appearance of being resemblance islamic dress.

:flowers:

Re: malala k malal main doobay log !

Dont worry jin molvion ki aap himayat kar rahay ho woh hum sub ko maar kar marain gay

Re: malala k malal main doobay log !

Yehi sub kuch salees zaban main bhi kaha ja sakta tha :slight_smile:

Re: malala k malal main doobay log !

Bas aap se yehi sunna thaa. Agar aaj sare ulema srif yehi keh dain ke Taliban kee ghaltiyon se hamaara taaluq nahi to quom khush naa ho jaa'ai?

Awaam ka ghussa isi baat ka tou hai. Taliban to wehshi hain, hum sab jaante hain. Ulema are our leaders and we look up to them so they can say ke haan beta, in ki yeah harkat ghalat hai. Maine tou aaj tuk khula bayaan kahi nahi parhaa kisi aalim ka talibaan ke against. aap kehti hain tou hum maan laite hain

Re: malala k malal main doobay log !

agr apko shia hony ki wja se mara jata ha to zaroor apki association Sipah Mohammad se hogi, aur agr apko ko suni honay ki waja se mara jata ha to zaroor apki association Sipah e Sahaba ye LEJ se hogi
Aur music wali bat choro janab yahan to Coture Week chal rhy hain koe chakkar hi nai hai.

Re: malala k malal main doobay log !

OP is being wrong and unnecessarily sensitive if she is saying that. When Ulema got killed in Karachi, their were thousands, if not 10s of thousands who attended their funerals.

When Lal Masjid event happened , the whole nation cried and protested.

Re: malala k malal main doobay log !

I don’t know but I feel that there is a lobby which is trying to suppress the voice of religious minded people. The way Malala issue has been used by certain groups to malign their political opponent just for point scoring says it all.

Why foreign media which is encashing Malala issue can’t see hundreds of thousands children being killed in tribal areas of Pakistan, Afghanistan, Iraq, Palestine. What happened to Malala is no doubt condemnable but using it for propaganda and ignoring hundreds of thousands similar cases is hypocrisy which is the gift so called selective freedom of speech :bummer:

Re: malala k malal main doobay log !

Jee app bilkul sahi keh rahi hain.

Re: malala k malal main doobay log !

I think it was not in Moen jo Daro's language.

Re: malala k malal main doobay log !

I agree. We should not politicized the matter, but condemn the event nevertheless. Now just because western media is using this event in their advantage does not mean ke hum billi ko billi kehna chor dain. Zulm tou zulm hai. Srif Western media kee mukhlifat kee wajah se hum zulm ko zulm kehna tou nahi chor sakte.

Re: malala k malal main doobay log !

Muje malala ka malal nahi apne mulk ka mlala hai ke akhir Kia hoga sighs

Re: malala k malal main doobay log !

Its just not about western media and their agenda. By following 'Zulm to zulm hai' philosophy, our so called liberal parties and their followers should raise voice against the killings of thousands and not start criticizing religious leaders when issues like Malala happens.

Re: malala k malal main doobay log !

Salees mhanje?