Main Tumharay Saath Hoon Ek Ehsaas Ki Tarha

***Main Tumhary Saath Hoon Aik Ehsas Ki Tarah…
Mujhay Buss Itna Kehna Hai,Kabhi Main Yaad Aaon Tou…
Kabhi Tanhai Ki Ratain Tumhen Ziyada Sataen Tou…
Kabhi Titli Na Bolay Tou, Aur Jugnu Lout Jaye Tou
Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaye,Koi Jab Sun Na Paye Tou…
Kabhi Sab Dost Sathi Bhi Jo Tum sey Routh Jain Tou
Kabhi Jab Khud Sey Lar Kar Thaken Sey Choor Ho Jao Tou…
Kabhi Chahtey Hoey Bhi Khud akelay Roo Na Pao Tou
Apni Ankhon Ko Band Karna Aur Mujhay Awaz Day Dena…
Phir Meray Tasawur Sey Jo Chahey Batien Keh Dena
Meray Kandhey Per Sar Rakh Ker Jitna Chahey Roo Lena…
Jab Main Khud Lout Jaon Tou,Apni Duniya Main Chaley Jana
Mager Buss Itna Kehna Hai K Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Main
Hamien Dil Sey Pukaro Gay,Tou Hamen Tum Saath Paao Gay
Main Tumray Saath Hoon Aik Ehsas Ki Tarah…
:flower1:


Re: Main Tumharay Saath Hoon Ek Ehsaas Ki Tarha

Bohat khoob Dania..

Re: Main Tumharay Saath Hoon Ek Ehsaas Ki Tarha

:)
<!--Session data-->

Re: Main Tumharay Saath Hoon Ek Ehsaas Ki Tarha

Bohat Khoobsurat Ehsas

nice sharing

Re: Main Tumharay Saath Hoon Ek Ehsaas Ki Tarha

v innocent & close 2 heart.

Re: Main Tumharay Saath Hoon Ek Ehsaas Ki Tarha

very touchy

Re: Main Tumharay Saath Hoon Ek Ehsaas Ki Tarha

beautiful..

Re: Main Tumharay Saath Hoon Ek Ehsaas Ki Tarha

so nice and touching

Re: Main Tumharay Saath Hoon Ek Ehsaas Ki Tarha

nice 1 :k:

Re: Main Tumharay Saath Hoon Ek Ehsaas Ki Tarha

kia bat he jee ap ke ehsas ki, bohat khoob