Main ne dekha deewano ko

main ne dekhaa deewaanon ko shaam ke baad
Dhuundh rahe the veeraanon ko shaam ke baad

taareekii phir saare aib chhupaa legii
le aanaa ghar mahamaanon ko shaam ke baad

mai.n ne us kaa sog manayaa kuchh aisaa
Khaalii rakhaa paimaanon ko shaam ke baad

yaad kare jab mujh ko terii tanhaa_ii
dekhaa karanaa gul_daanon ko shaam ke baad

“Farhat” chaand ke Khauf se kar letaa huu.N band
kamare ke raushan_daanon ko shaam ke baad

Re: Main ne dekha deewano ko

nice sharing :)

Re: Main ne dekha deewano ko

thhxxx miss amal