Teri yaad se liptii hoii khushbuain churaa ker
rakhe hain kaii phool kitaabon mein chhupa ker
mere hoslay na tootay kabhii hijr kii raaton mein
dekha hai kaii baar chiraagon ko bujha ker
tere shehr mein aaya tha barii chaah se lekin
ab jaa raha hoon apne armaano’n ko lutaa ker
justujo-e-mohabbat mein wafa kho chukii hai jaanaa’n
chalo phir se dhoondtay hain naye raastay bana ker
kuch sadaaei’n aa rahii hain kashmir-o-falasteen se
hum jee rahe hain dekho apna lahoo baha ker
main kis ka chehra dekhoon aaino’n k iss nagar mein
yahan milte hain sab jhootii muskurahtein saja ker
main ne apnii anaa ko bhii aaj qatl ker dala
haan ! uss ko hansii dii kaii khushyun ko rula ker
mujhe phir khushi ka zehr aaj peenay se pehle
madhosh ker do na ghamo’n ka jaam pila ker
main wohii hoon jise tum falak ka chaand kehtii thii
mujhe dekho to na-shanasaii ki deewaar gira ker
be-gharz dharkanein hamein marne nahii detii’n
barii bhool ki hum ne tumhein iss dil mein basaa ker
aaj** umair **ne haq-e-dostii adaa ker diya dekho
kisi k naam k kaante apnii raahon mein bicha ker